title
stringlengths 22
123
| content
stringlengths 76
2.65k
⌀ |
---|---|
tere-tausan-ko-sabaa-baandhte-hain-mirza-ghalib-ghazals |
tere tausan ko sabā bāñdhte haiñ
ham bhī mazmūñ kī havā bāñdhte haiñ
aah kā kis ne asar dekhā hai
ham bhī ek apnī havā bāñdhte haiñ
terī fursat ke muqābil ai umr
barq ko pa-ba-hinā bāñdhte haiñ
qaid-e-hastī se rihā.ī ma.alūm
ashk ko be-sar-o-pā bāñdhte haiñ
nashsha-e-rañg se hai vāshud-e-gul
mast kab band-e-qabā bāñdhte haiñ
ġhalatī-hā-e-mazāmīñ mat pūchh
log naale ko rasā bāñdhte haiñ
ahl-e-tadbīr kī vāmāndgiyāñ
ābloñ par bhī hinā bāñdhte haiñ
saada purkār haiñ ḳhūbāñ 'ġhālib'
ham se paimān-e-vafā bāñdhte haiñ
paañv meñ jab vo hinā bāñdhte haiñ
mere hāthoñ ko judā bāñdhte haiñ
husn-e-afsurda-dil-hā-rañgīñ
shauq ko pā-ba-hinā bāñdhte haiñ
qaid meñ bhī hai asīrī āzād
chashm-e-zanjīr ko vā bāñdhte haiñ
shaiḳh-jī ka.abe kā jaanā ma.alūm
aap masjid meñ gadhā bāñdhte haiñ
kis kā dil zulf se bhāgā ki 'asad'
dast-e-shāna ba-qazā bāñdhte haiñ
tere bīmār pe haiñ fariyādī
vo jo kāġhaz meñ davā bāñdhte haiñ |
hai-sabza-zaar-har-dar-o-diivaar-e-gam-kada-mirza-ghalib-ghazals |
hai sabza-zār har dar-o-dīvār-e-ġham-kada
jis kī bahār ye ho phir us kī ḳhizāñ na pūchh
nā-chār bekasī kī bhī hasrat uThā.iye
dushvāri-e-rah-o-sitam-e-ham-rahāñ na pūchh
juz dil surāġh-e-dard ba-dil-ḳhuftagāñ na pūchh
ā.īna arz kar ḳhat-o-ḳhāl-e-bayāñ na pūchh
hindostān sāya-e-gul pā-e-taḳht thā
jāh-o-jalāl-e-ahd-e-visāl-e-butāñ na pūchh
ġhaflat-matā-e-kaffa-e-mīzān-e-adl huuñ
yā rab hisāb-e-saḳhti-e-ḳhvāb-e-girāñ na pūchh
har dāġh-e-tāza yak-dil-e-dāġh intizār hai
arz-e-fazā-e-sīna-e-dard imtihāñ na pūchh
kahtā thā kal vo mahram-e-rāz apne se ki aah
dard-e-judā.i-e-'asad'-ullāh-ḳhāñ na pūchh
parvāz-e-yak-tap-e-ġham-e-tasḳhīr-e-nāla hai
garmī-e-nabz-e-nabz-e-ḳhār-o-ḳhas-e-āshiyāñ na pūchh
tū mashq-e-bāz kar dil-e-parvāna hai bahār
betābī-e-tajallī-e-ātish-ba-jāñ na pūchh |
nahiin-ki-mujh-ko-qayaamat-kaa-e-tiqaad-nahiin-mirza-ghalib-ghazals |
nahīñ ki mujh ko qayāmat kā e'tiqād nahīñ
shab-e-firāq se roz-e-jazā ziyād nahīñ
koī kahe ki shab-e-mah meñ kyā burā.ī hai
balā se aaj agar din ko abr o baad nahīñ
jo aa.uuñ sāmne un ke to marhabā na kaheñ
jo jā.ūñ vaañ se kahīñ ko to ḳhair-bād nahīñ
kabhī jo yaad bhī aatā huuñ maiñ to kahte haiñ
ki aaj bazm meñ kuchh fitna-o-fasād nahīñ
alāva iid ke miltī hai aur din bhī sharāb
gadā-e-kūcha-e-mai-ḳhāna nā-murād nahīñ
jahāñ meñ ho ġham-e-shādī baham hameñ kyā kaam
diyā hai ham ko ḳhudā ne vo dil kī shaad nahīñ
tum un ke va.ade kā zikr un se kyuuñ karo 'ġhālib'
ye kyā ki tum kaho aur vo kaheñ ki yaad nahīñ |
safaa-e-hairat-e-aaiina-hai-saamaan-e-zang-aakhir-mirza-ghalib-ghazals |
safā-e-hairat-e-ā.īna hai sāmān-e-zang āḳhir
taġhayyur āb-e-bar-jā-māñda kā paatā hai rañg āḳhir
na kī sāmān-e-aish-o-jāh ne tadbīr vahshat kī
huā jām-e-zumurrad bhī mujhe dāġh-e-palañg āḳhir
ḳhat-e-nau-ḳhez nīl-e-chashm zaḳhm-e-sāfī-e-āriz
liyā ā.īna ne hirz-e-par-e-tūtī ba-chang āḳhir
hilāl-āsā tahī rah gar kushādan-hā-e-dil chāhe
huā mah kasrat-e-sarmāya-andozī se tañg āḳhir
taḌap kar mar gayā vo said-e-bāl-afshāñ ki muztar thā
huā nāsū-e-chashm-e-ta.aziyat chashm-e-ḳhadañg āḳhir
likhī yāroñ kī bad-mastī ne maiḳhāne kī pāmālī
hui qatra-fishānī-hā-e-mai-bārān-e-sañg āḳhir
'asad' parde meñ bhī āhañg-e-shauq-e-yār qaa.em hai
nahīñ hai naġhme se ḳhālī ḳhamīdan-hā-e-chañg āḳhir |
naved-e-amn-hai-bedaad-e-dost-jaan-ke-liye-mirza-ghalib-ghazals |
naved-e-amn hai bedād-e-dost jaañ ke liye
rahī na tarz-e-sitam koī āsmāñ ke liye
balā se gar mizha-e-yār tishna-e-ḳhūñ hai
rakhūñ kuchh apnī bhī mizhgān-e-ḳhūñ fishāñ ke liye
vo zinda ham haiñ ki haiñ rū-shanās-e-ḳhalq ai ḳhizr
na tum ki chor bane umr-e-jāvedāñ ke liye
rahā balā meñ bhī maiñ mubtala-e-āfat-e-rashk
balā-e-jāñ hai adā terī ik jahāñ ke liye
falak na duur rakh us se mujhe ki maiñ hī nahīñ
darāz-dasti-e-qātil ke imtihāñ ke liye
misāl ye mirī koshish kī hai ki murġh-e-asīr
kare qafas meñ farāham ḳhas āshiyāñ ke liye
gadā samajh ke vo chup thā mirī jo shāmat aa.ī
uThā aur uTh ke qadam maiñ ne pāsbāñ ke liye
ba-qadr-e-shauq nahīñ zarf-e-tangnā-e-ġhazal
kuchh aur chāhiye vus.at mire bayāñ ke liye
diyā hai ḳhalq ko bhī tā use nazar na lage
banā hai aish tajammul husain ḳhaañ ke liye
zabāñ pe bār-e-ḳhudāyā ye kis kā naam aayā
ki mere nutq ne bose mirī zabāñ ke liye
nasīr-e-daulat-o-dīñ aur muīn-e-millat-o-mulk
banā hai charḳh-e-barīñ jis ke āstāñ ke liye
zamāna ahd meñ us ke hai mahv-e-ārā.ish
baneñge aur sitāre ab āsmāñ ke liye
varaq tamām huā aur mad.h baaqī hai
safīna chāhiye is bahr-e-be-karāñ ke liye
adā-e-ḳhās se 'ġhālib' huā hai nukta-sarā
salā-e-ām hai yārān-e-nukta-dāñ ke liye |
barshikaal-e-girya-e-aashiq-hai-dekhaa-chaahiye-mirza-ghalib-ghazals |
barshikāl-e-girya-e-āshiq hai dekhā chāhiye
khil ga.ī mānind-e-gul sau jā se dīvār-e-chaman
ulfat-e-gul se ġhalat hai dāva-e-vārastagī
sarv hai bā-vasf-e-āzādī giraftār-e-chaman
saaf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzār-e-chaman
jānashīn-e-jauhar-e-ā.īna hai ḳhār-e-chaman
hai nazākat bas ki fasl-e-gul meñ me.amār-e-chaman
qālib-e-gul meñ Dhalī hai ḳhisht-e-dīvār-e-chaman
terī ārā.ish kā istiqbāl kartī hai bahār
jauhar-e-ā.īna hai yaañ naqsh-e-ehzār-e-chaman
bas ki paa.ī yaar kī rañgīñ-adā.ī se shikast
hai kulāh-e-nāz-e-gul bar tāq-e-dīvār-e-chaman
vaqt hai gar bulbul-e-miskīñ zuleḳhā.i kare
yūsuf-e-gul jalva-farmā hai ba-bāzār-e-chaman
vahshat-afzā girya-hā mauqūf-e-fasl-e-gul 'asad'
chashm-e-dariyā-rez hai mīzāb-e-sarkār-e-chaman |
zulmat-kade-men-mere-shab-e-gam-kaa-josh-hai-mirza-ghalib-ghazals |
zulmat-kade meñ mere shab-e-ġham kā josh hai
ik sham.a hai dalīl-e-sahar so ḳhamosh hai
ne muzhda-e-visāl na nazzāra-e-jamāl
muddat huī ki āshtī-e-chashm-o-gosh hai
mai ne kiyā hai husn-e-ḳhud-ārā ko be-hijāb
ai shauq! haañ ijāzat-e-taslīm-e-hosh hai
gauhar ko aqd-e-gardan-e-ḳhūbāñ meñ dekhnā
kyā auj par sitāra-e-gauhar-farosh hai
dīdār baada hausla saaqī nigāh mast
bazm-e-ḳhayāl mai-kada-e-be-ḳharosh hai
ai taaza vārdān-e-bisāt-e-havā-e-dil
zinhār agar tumheñ havas-e-nā.e-o-nosh hai
dekho mujhe jo dīda-e-ibrat-nigāh ho
merī suno jo gosh-e-nasīhat-ne.osh hai
sāqī-ba-jalva dushman-e-īmān-o-āgahī
mutrib ba-naġhma rahzan-e-tamkīn-o-hosh hai
yā shab ko dekhte the ki har gosha-e-bisāt
dāmān-e-bāġhbān o kaf-e-gul-farosh hai
luft-e-ḳhiram-e-sāqī o zauq-e-sadā-e-chang
ye jannat-e-nigāh vo firdaus-e-gosh hai
yā sub.h-dam jo dekhiye aa kar to bazm meñ
ne vo surūr o soz na josh-o-ḳharosh hai
dāġh-e-firāq-e-sohbat-e-shab kī jalī huī
ik sham.a rah ga.ī hai so vo bhī ḳhamosh hai
aate haiñ ġhaib se ye mazāmīñ ḳhayāl meñ
'ġhālib' sarīr-e-ḳhāma navā-e-sarosh hai |
husn-e-be-parvaa-khariidaar-e-mataa-e-jalva-hai-mirza-ghalib-ghazals |
husn-e-be-parvā ḳharīdār-e-matā-e-jalva hai
aa.ina zānū-e-fikr-e-iḳhtirā-e-jalva hai
tā-kujā ai āgahī rañg-e-tamāshā bāḳhtan
chashm-e-vā-gardīda āġhosh-e-vidā-e-jalva hai |
kab-vo-suntaa-hai-kahaanii-merii-mirza-ghalib-ghazals |
kab vo suntā hai kahānī merī
aur phir vo bhī zabānī merī
ḳhalish-e-ġhamza-e-ḳhūñ-rez na pūchh
dekh ḳhūnāba-fishānī merī
kyā bayāñ kar ke mirā ro.eñge yaar
magar āshufta-bayānī merī
huuñ za-ḳhud rafta-e-baidā-e-ḳhayāl
bhuul jaanā hai nishānī merī
mutaqābil hai muqābil merā
ruk gayā dekh ravānī merī
qadr-e-sañg-e-sar-e-rah rakhtā huuñ
saḳht arzāñ hai girānī merī
gard-bād-e-rah-e-betābī huuñ
sarsar-e-shauq hai baanī merī
dahan us kā jo na mālūm huā
khul ga.ī hech madānī merī
kar diyā zo.af ne aajiz 'ġhālib'
nañg-e-pīrī hai javānī merī |
na-huii-gar-mire-marne-se-tasallii-na-sahii-mirza-ghalib-ghazals |
na huī gar mire marne se tasallī na sahī
imtihāñ aur bhī baaqī ho to ye bhī na sahī
ḳhaar ḳhār-e-alam-e-hasrat-e-dīdār to hai
shauq gul-chīn-e-gulistān-e-tasallī na sahī
mai-parastāñ ḳhum-e-mai muñh se lagā.e hī bane
ek din gar na huā bazm meñ saaqī na sahī
nafas-e-qais ki hai chashm-o-charāġh-e-sahrā
gar nahīñ sham-e-siyah-ḳhāna-e-lailī na sahī
ek hañgāme pe mauqūf hai ghar kī raunaq
nauha-e-ġham hī sahī naġhma-e-shādī na sahī
na satā.ish kī tamannā na sile kī parvā
gar nahīñ haiñ mire ash.ār meñ ma.anī na sahī
ishrat-e-sohbat-e-ḳhūbāñ hī ġhanīmat samjho
na huī 'ġhālib' agar umr-e-tābī.ī na sahī |
yak-zarra-e-zamiin-nahiin-be-kaar-baag-kaa-mirza-ghalib-ghazals |
yak-zarra-e-zamīñ nahīñ be-kār baaġh kā
yaañ jaada bhī fatīla hai laale ke daaġh kā
be-mai kise hai tāqat-e-āshob-e-āgahī
khīñchā hai ijz-e-hausla ne ḳhat ayāġh kā
bulbul ke kārobār pe haiñ ḳhanda-hā-e-gul
kahte haiñ jis ko ishq ḳhalal hai dimāġh kā
taaza nahīñ hai nashsha-e-fikr-e-suḳhan mujhe
tiryākī-e-qadīm huuñ dūd-e-charāġh kā
sau baar band-e-ishq se āzād ham hue
par kyā kareñ ki dil hī adū hai farāġh kā
be-ḳhūn-e-dil hai chashm meñ mauj-e-nigah ġhubār
ye mai-kada ḳharāb hai mai ke surāġh kā
bāġh-e-shagufta terā bisāt-e-nashāt-e-dil
abr-e-bahār ḳhum-kada kis ke dimāġh kaa?
josh-e-bahār-e-kulfat-e-nazzāra hai 'asad'
hai abr pamba rauzan-e-dīvāar-e-bāġh kā |
mujh-ko-dayaar-e-gair-men-maaraa-vatan-se-duur-mirza-ghalib-ghazals |
mujh ko dayār-e-ġhair meñ maarā vatan se duur
rakh lī mire ḳhudā ne mirī bekasī kī sharm
vo halqa-hā-e-zulf kamīñ meñ haiñ yā ḳhudā
rakh liijo mere dāva-e-vārastagī kī sharm |
dil-se-tirii-nigaah-jigar-tak-utar-gaii-mirza-ghalib-ghazals |
dil se tirī nigāh jigar tak utar ga.ī
donoñ ko ik adā meñ razā-mand kar ga.ī
shaq ho gayā hai siina ḳhushā lazzat-e-farāġh
taklīf-e-parda-dāri-e-zaḳhm-e-jigar ga.ī
vo bāda-e-shabāna kī sarmastiyāñ kahāñ
uThiye bas ab ki lazzat-e-ḳhvāb-e-sahar ga.ī
uḌtī phire hai ḳhaak mirī kū-e-yār meñ
baare ab ai havā havas-e-bāl-o-par ga.ī
dekho to dil-farebi-e-andāz-e-naqsh-e-pā
mauj-e-ḳhirām-e-yār bhī kyā gul katar ga.ī
har bul-havas ne husn-parastī shi.ār kī
ab ābrū-e-sheva-e-ahl-e-nazar ga.ī
nazzāre ne bhī kaam kiyā vaañ naqāb kā
mastī se har nigah tire ruḳh par bikhar ga.ī
fardā o dī kā tafraqa yak baar miT gayā
kal tum ga.e ki ham pe qayāmat guzar ga.ī
maarā zamāne ne asadullāh ḳhaañ tumheñ
vo valvale kahāñ vo javānī kidhar ga.ī |
huii-taakhiir-to-kuchh-baais-e-taakhiir-bhii-thaa-mirza-ghalib-ghazals |
huī tāḳhīr to kuchh bā.is-e-tāḳhīr bhī thā
aap aate the magar koī ināñ-gīr bhī thā
tum se bejā hai mujhe apnī tabāhī kā gila
us meñ kuchh shā.iba-e-ḳhūbi-e-taqdīr bhī thā
tū mujhe bhuul gayā ho to patā batlā duuñ
kabhī fitrāk meñ tere koī naḳhchīr bhī thā
qaid meñ hai tire vahshī ko vahī zulf kī yaad
haañ kuchh ik ranj-e-girāñ-bāri-e-zanjīr bhī thā
bijlī ik kauñd ga.ī āñkhoñ ke aage to kyā
baat karte ki maiñ lab-tishna-e-taqrīr bhī thā
yūsuf us ko kahūñ aur kuchh na kahe ḳhair huī
gar bigaḌ baiThe to maiñ lā.iq-e-tāzīr bhī thā
dekh kar ġhair ko ho kyuuñ na kalejā ThanDā
naala kartā thā vale tālib-e-tāsīr bhī thā
peshe meñ aib nahīñ rakhiye na farhād ko naam
ham hī āshufta-saroñ meñ vo javāñ-mīr bhī thā
ham the marne ko khaḌe paas na aayā na sahī
āḳhir us shoḳh ke tarkash meñ koī tiir bhī thā
pakḌe jaate haiñ farishtoñ ke likhe par nā-haq
aadmī koī hamārā dam-e-tahrīr bhī thā
reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib'
kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā |
bahut-sahii-gam-e-giitii-sharaab-kam-kyaa-hai-mirza-ghalib-ghazals |
bahut sahī ġham-e-gītī sharāb kam kyā hai
ġhulām-e-sāqī-e-kausar huuñ mujh ko ġham kyā hai
tumhārī tarz-o-ravish jānte haiñ ham kyā hai
raqīb par hai agar lutf to sitam kyā hai
suḳhan meñ ḳhāma-e-ġhālib kī ātish-afshānī
yaqīñ hai ham ko bhī lekin ab us meñ dam kyā hai
kaTe to shab kaheñ kaaTe to saañp kahlāve
koī batāo ki vo zulf-e-ḳham-ba-ḳham kyā hai
likhā kare koī ahkām-e-tāla-e-maulūd
kise ḳhabar hai ki vaañ jumbish-e-qalam kyā hai
na hashr-o-nashr kā qaa.el na kesh o millat kā
ḳhudā ke vāste aise kī phir qasam kyā hai
vo dād-o-dīd garāñ-māya shart hai hamdam
vagarna mehr-e-sulaimān-o-jām-e-jam kyā hai |
hai-kis-qadar-halaak-e-fareb-e-vafaa-e-gul-mirza-ghalib-ghazals |
hai kis qadar halāk-e-fareb-e-vafā-e-gul
bulbul ke kārobār pe haiñ ḳhanda-hā-e-gul
āzādī-e-nasīm mubārak ki har taraf
TuuTe paḌe haiñ halqa-e-dām-e-havā-e-gul
jo thā so mauj-e-rañg ke dhoke meñ mar gayā
ai vaa.e nāla-e-lab-e-ḳhūnīñ-navā-e-gul
ḳhush-hāl us harīf-e-siyah-mast kā ki jo
rakhtā ho misl-e-sāya-e-gul sar-ba-pā-e-gul
ījād kartī hai use tere liye bahār
merā raqīb hai nafas-e-itr-sā-e-gul
sharminda rakhte haiñ mujhe bād-e-bahār se
mīnā-e-be-sharāb o dil-e-be-havā-e-gul
satvat se tere jalva-e-husn-e-ġhuyūr kī
ḳhuuñ hai mirī nigāh meñ rañg-e-adā-e-gul
tere hī jalve kā hai ye dhokā ki aaj tak
be-iḳhtiyār dauḌe hai gul dar-qafā-e-gul
'ġhālib' mujhe hai us se ham-āġhoshī aarzū
jis kā ḳhayāl hai gul-e-jeb-e-qabā-e-gul
dīvānagāñ kā chāra faroġh-e-bahār hai
hai shāḳh-e-gul meñ panja-e-ḳhūbāñ bajā.e gul
mizhgāñ talak rasā.ī-e-laḳht-e-jigar kahāñ
ai vaa.e gar nigāh na ho āshnā-e-gul |
ishrat-e-qatra-hai-dariyaa-men-fanaa-ho-jaanaa-mirza-ghalib-ghazals |
ishrat-e-qatra hai dariyā meñ fanā ho jaanā
dard kā had se guzarnā hai davā ho jaanā
tujh se qismat meñ mirī sūrat-e-qufl-e-abjad
thā likhā baat ke bante hī judā ho jaanā
dil huā kasmakash-e-chāra-e-zehmat meñ tamām
miT gayā ghisne meñ is uqde kā vā ho jaanā
ab jafā se bhī haiñ mahrūm ham allāh allāh
is qadar dushman-e-arbāb-e-vafā ho jaanā
zo.af se girya mubaddal ba-dam-e-sard huā
bāvar aayā hameñ paanī kā havā ho jaanā
dil se miTnā tirī añgusht-e-hinā.ī kā ḳhayāl
ho gayā gosht se nāḳhun kā judā ho jaanā
hai mujhe abr-e-bahārī kā baras kar khulnā
rote rote ġham-e-furqat meñ fanā ho jaanā
gar nahīñ nik.hat-e-gul ko tire kūche kī havas
kyuuñ hai gard-e-rah-e-jaulān-e-sabā ho jaanā
baḳhshe hai jalva-e-gul zauq-e-tamāshā 'ġhālib'
chashm ko chāhiye har rañg meñ vā ho jaanā
tā ki tujh par khule ejāz-e-havā-e-saiqal
dekh barsāt meñ sabz aa.ine kā ho jaanā |
tapish-se-merii-vaqf-e-kashmakash-har-taar-e-bistar-hai-mirza-ghalib-ghazals |
tapish se merī vaqf-e-kashmakash har tār-e-bistar hai
mirā sar rañj-e-bālīñ hai mirā tan bār-e-bistar hai
sarishk-e-sar ba-sahrā daada nūr-ul-ain-e-dāman hai
dil-e-be-dast-o-pā uftāda bar-ḳhurdār-e-bistar hai
ḳhushā iqbāl-e-rañjūrī ayādat ko tum aa.e ho
faroġh-e-sham-e-bālīñ tāla-e-bedār-e-bistar hai
ba-tūfāñ-gāh-e-josh-e-iztirāb-e-shām-e-tanhā.ī
shuā-e-āftāb-e-sub.h-e-mahshar tār-e-bistar hai
abhī aatī hai bū bālish se us kī zulf-e-mushkīñ kī
hamārī diid ko ḳhvāb-e-zuleḳhā ār-e-bistar hai
kahūñ kyā dil kī kyā hālat hai hijr-e-yār meñ ġhālib
ki betābī se har-yak tār-e-bistar ḳhār-e-bistar hai |
gam-e-duniyaa-se-gar-paaii-bhii-fursat-sar-uthaane-kii-mirza-ghalib-ghazals |
ġham-e-duniyā se gar paa.ī bhī fursat sar uThāne kī
falak kā dekhnā taqrīb tere yaad aane kī
khulegā kis tarah mazmūñ mire maktūb kā yā-rab
qasam khaa.ī hai us kāfir ne kāġhaz ke jalāne kī
lipaTnā parniyāñ meñ shola-e-ātish kā pinhāñ hai
vale mushkil hai hikmat dil meñ soz-e-ġham chhupāne kī
unheñ manzūr apne zaḳhmiyoñ kā dekh aanā thā
uThe the sair-e-gul ko dekhnā shoḳhī bahāne kī
hamārī sādgī thī iltifāt-e-nāz par marnā
tirā aanā na thā zālim magar tamhīd jaane kī
lakad kūb-e-havādis kā tahammul kar nahīñ saktī
mirī tāqat ki zāmin thī butoñ kī naaz uThāne kī
kahūñ kyā ḳhūbi-e-auzā-e-abnā-e-zamāñ 'ġhālib'
badī kī us ne jis se ham ne kī thī bār-hā nekī |
diyaa-hai-dil-agar-us-ko-bashar-hai-kyaa-kahiye-mirza-ghalib-ghazals |
diyā hai dil agar us ko bashar hai kyā kahiye
huā raqīb to ho nāma-bar hai kyā kahiye
ye zid ki aaj na aave aur aa.e bin na rahe
qazā se shikva hameñ kis qadar hai kyā kahiye
rahe hai yuuñ gah-o-be-gah ki kū-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman kā ghar hai kyā kahiye
zahe karishma ki yuuñ de rakkhā hai ham ko fareb
ki bin kahe hī unheñ sab ḳhabar hai kyā kahiye
samajh ke karte haiñ bāzār meñ vo pursish-e-hāl
ki ye kahe ki sar-e-rahguzar hai kyā kahiye
tumheñ nahīñ hai sar-e-rishta-e-vafā kā ḳhayāl
hamāre haath meñ kuchh hai magar hai kyā kahiye
unheñ savāl pe zom-e-junūñ hai kyuuñ laḌiye
hameñ javāb se qat-e-nazar hai kyā kahiye
hasad sazā-e-kamāl-e-suḳhan hai kyā kījiye
sitam bahā-e-matā-e-hunar hai kyā kahiye
kahā hai kis ne ki 'ġhālib' burā nahīñ lekin
sivā.e is ke ki āshufta-sar hai kyā kahiye |
aamad-e-sailaab-e-tuufaan-e-sadaa-e-aab-hai-mirza-ghalib-ghazals |
āmad-e-sailāb-e-tūfān-e-sadā-e-āb hai
naqsh-e-pā jo kaan meñ rakhtā hai uñglī jaada se
bazm-e-mai vahshat-kada hai kis kī chashm-e-mast kā
shīshe meñ nabz-e-parī pinhāñ hai mauj-e-bāda se
dekhtā huuñ vahshat-e-shauq-e-ḳharosh-āmāda se
fāl-e-rusvā.ī sirishk-e-sar-ba-sahrā-dāda se
daam gar sabze meñ pinhāñ kījiye tā.ūs ho
josh-e-nairañg-e-bahār arz-e-sahrā-dāda se
ḳhema-e-lailā siyāh o ḳhāna-e-majnūñ ḳharāb
josh-e-vīrānī hai ishq-e-dāġh-e-bairūñ-dāda se
bazm-e-hastī vo tamāshā hai ki jis ko ham 'asad'
dekhte haiñ chashm-e-az-ḳhvāb-e-adam-nakushāda se |
kahte-to-ho-tum-sab-ki-but-e-gaaliyaa-muu-aae-mirza-ghalib-ghazals |
kahte to ho tum sab ki but-e-ġhāliyā-mū aa.e
yak martaba ghabrā ke kaho koī ki vo aa.e
huuñ kashmakash-e-naz.a meñ haañ jazb-e-mohabbat
kuchh kah na sakūñ par vo mire pūchhne ko aa.e
hai sā.iqa o sho.ala o sīmāb kā aalam
aanā hī samajh meñ mirī aatā nahīñ go aa.e
zāhir hai ki ghabrā ke na bhāgeñge nakīrain
haañ muñh se magar bāda-e-doshīnā kī bū aa.e
jallād se Darte haiñ na vaa.iz se jhagaḌte
ham samjhe hue haiñ use jis bhes meñ jo aa.e
haañ ahl-e-talab kaun sune tāna-e-nā-yāfat
dekhā ki vo miltā nahīñ apne hī ko kho aa.e
apnā nahīñ ye sheva ki ārām se baiTheñ
us dar pe nahīñ baar to ka.abe hī ko ho aa.e
kī ham-nafasoñ ne asar-e-giryā meñ taqrīr
achchhe rahe aap is se magar mujh ko Dubo aa.e
us anjuman-e-nāz kī kyā baat hai 'ġhālib'
ham bhī ga.e vaañ aur tirī taqdīr ko ro aa.e |
vo-firaaq-aur-vo-visaal-kahaan-mirza-ghalib-ghazals |
vo firāq aur vo visāl kahāñ
vo shab-o-roz o māh-o-sāl kahāñ
fursat-e-kārobār-e-shauq kise
zauq-e-nazzāra-e-jamāl kahāñ
dil to dil vo dimāġh bhī na rahā
shor-e-saudā-e-ḳhatt-o-ḳhāl kahāñ
thī vo ik shaḳhs ke tasavvur se
ab vo rānā.ī-e-ḳhayāl kahāñ
aisā āsāñ nahīñ lahū ronā
dil meñ tāqat jigar meñ haal kahāñ
ham se chhūTā qimār-ḳhāna-e-ishq
vaañ jo jāveñ girah meñ maal kahāñ
fikr-e-duniyā meñ sar khapātā huuñ
maiñ kahāñ aur ye vabāl kahāñ
muzmahil ho ga.e qavā ġhālib
vo anāsir meñ e'tidāl kahāñ
bose meñ vo muzā.iqa na kare
par mujhe tāqat-e-savāl kahāñ
falak-e-sifla be-muhābā hai
is sitam-gar ko infi.āl kahāñ |
rukh-e-nigaar-se-hai-soz-e-jaavidaani-e-shama-mirza-ghalib-ghazals |
ruḳh-e-nigār se hai soz-e-jāvidānī-e-sham.a
huī hai ātish-e-gul āb-e-zindagānī-e-sham.a
zabān-e-ahl-e-zabāñ meñ hai marg-e-ḳhāmoshī
ye baat bazm meñ raushan huī zabānī-e-sham.a
kare hai sarf ba-īmā-e-sho.ala qissa tamām
ba-tarz-e-ahl-e-fanā hai fasāna-ḳhvānī-e-sham.a
ġham us ko hasrat-e-parvāna kā hai ai sho.ale
tire larazne se zāhir hai nā-tavānī-e-sham.a
tire ḳhayāl se ruuh ehtizāz kartī hai
ba-jalva-rezi-e-bād-o-ba-par-fishānī-e-sham.a
nashāt-e-dāġh-e-ġham-e-ishq kī bahār na pūchh
shaguftagī hai shahīd-e-gul-e-ḳhizānī-e-sham.a
jale hai dekh ke bālīn-e-yār par mujh ko
na kyuuñ ho dil pe mire dāġh-e-bad-gumānī-e-sham.a |
balaa-se-hain-jo-ye-pesh-e-nazar-dar-o-diivaar-mirza-ghalib-ghazals |
balā se haiñ jo ye pesh-e-nazar dar-o-dīvār
nigāh-e-shauq ko haiñ bāl-o-par dar-o-dīvār
vufūr-e-ashk ne kāshāne kā kiyā ye rañg
ki ho ga.e mire dīvār-o-dar dar-o-dīvār
nahīñ hai saaya ki sun kar naved-e-maqdam-e-yār
ga.e haiñ chand qadam pesh-tar dar-o-dīvār
huī hai kis qadar arzāni-e-mai-e-jalva
ki mast hai tire kūche meñ har dar-o-dīvār
jo hai tujhe sar-e-saudā-e-intizār to aa
ki haiñ dukān-e-matā-e-nazar dar-o-dīvār
hujūm-e-girya kā sāmān kab kiyā maiñ ne
ki gir paḌe na mire paañv par dar-o-dīvār
vo aa rahā mire ham-sā.e meñ to saa.e se
hue fidā dar-o-dīvār par dar-o-dīvār
nazar meñ khaTke hai bin tere ghar kī ābādī
hamesha rote haiñ ham dekh kar dar-o-dīvār
na pūchh be-ḳhudi-e-aish-e-maqdam-e-sailāb
ki nāchte haiñ paḌe sar-ba-sar dar-o-dīvār
na kah kisī se ki 'ġhālib' nahīñ zamāne meñ
harīf-e-rāz-e-mohabbat magar dar-o-dīvār |
hai-aarmiidagii-men-nikohish-bajaa-mujhe-mirza-ghalib-ghazals |
hai ārmīdagī meñ nikohish bajā mujhe
sub.h-e-vatan hai ḳhanda-e-dandāñ-numā mujhe
DhūñDe hai us muġhanni-e-ātish-nafas ko jī
jis kī sadā ho jalva-e-barq-e-fanā mujhe
mastāna tai karūñ huuñ rah-e-vādi-e-ḳhayāl
tā bāz-gasht se na rahe mudda.ā mujhe
kartā hai bas-ki baaġh meñ tū be-hijābiyāñ
aane lagī hai nik.hat-e-gul se hayā mujhe
khultā kisī pe kyuuñ mire dil kā mo.āmla
sheroñ ke intiḳhāb ne rusvā kiyā mujhe
vaañ rañg-hā ba-parda-e-tadbīr haiñ hunūz
yaañ shola-e-charāġh hai barg-e-hinā mujhe
parvāz-hā niyāz-e-tamāshā-e-husn-e-dost
bāl-e-kushāda hai nigah-e-āshnā mujhe
az-ḳhud-guzashtagī meñ ḳhamoshī pe harf hai
mauj-e-ġhubār-e-surma huī hai sadā mujhe
tā chand past fitrati-e-tab-e-ārzū
yā rab mile bulandī-e-dast-e-duā mujhe
maiñ ne junūñ se kī jo 'asad' iltimās-e-rañg
ḳhūn-e-jigar meñ ek hī ġhota diyā mujhe
hai pech-tāb rishta-e-sham-e-sahar-gahī
ḳhajlat gudāzī-e-nafas-e-nā-rasā mujhe
yaañ āb-o-dāna mausam-e-gul meñ harām hai
zunnār-e-vā-gusista hai mauj-e-sabā mujhe
yakbār imtihān-e-havas bhī zarūr hai
ai josh-e-ishq bāda-e-mard-āzmā mujhe |
husn-gamze-kii-kashaakash-se-chhutaa-mere-baad-mirza-ghalib-ghazals |
husn ġhamze kī kashākash se chhuTā mere ba.ad
baare ārām se haiñ ahl-e-jafā mere ba.ad
mansab-e-sheftagī ke koī qābil na rahā
huī māzūli-e-andāz-o-adā mere ba.ad
sham.a bujhtī hai to us meñ se dhuāñ uThtā hai
sho.ala-e-ishq siyah-posh huā mere ba.ad
ḳhuuñ hai dil ḳhaak meñ ahvāl-e-butāñ par ya.anī
un ke nāḳhun hue mohatāj-e-hinā mere ba.ad
dar-ḳhur-e-arz nahīñ jauhar-e-bedād ko jā
nigah-e-nāz hai surme se ḳhafā mere ba.ad
hai junūñ ahl-e-junūñ ke liye āġhosh-e-vidā.a
chaak hotā hai garebāñ se judā mere ba.ad
kaun hotā hai harīf-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq
hai mukarrar lab-e-sāqī pe salā mere ba.ad
ġham se martā huuñ ki itnā nahīñ duniyā meñ koī
ki kare tāzīyat-e-mehr-o-vafā mere ba.ad
aa.e hai bekasī-e-ishq pe ronā 'ġhālib'
kis ke ghar jā.egā sailāb-e-balā mere ba.ad
thī nigah merī nihāñ-ḳhāna-e-dil kī naqqāb
be-ḳhatar jiite haiñ arbāb-e-riyā mere ba.ad
thā maiñ guldasta-e-ahbāb kī bandish kī giyāh
mutafarriq hue mere rufaqā mere ba.ad |
dekhnaa-qismat-ki-aap-apne-pe-rashk-aa-jaae-hai-mirza-ghalib-ghazals |
dekhnā qismat ki aap apne pe rashk aa jaa.e hai
maiñ use dekhūñ bhalā kab mujh se dekhā jaa.e hai
haath dho dil se yahī garmī gar andeshe meñ hai
ābgīna tundi-e-sahbā se pighlā jaa.e hai
ġhair ko yā rab vo kyūñkar mana-e-gustāḳhī kare
gar hayā bhī us ko aatī hai to sharmā jaa.e hai
shauq ko ye lat ki har dam naala khīñche jā.iye
dil kī vo hālat ki dam lene se ghabrā jaa.e hai
duur chashm-e-bad tirī bazm-e-tarab se vaah vaah
naġhma ho jaatā hai vaañ gar naala merā jaa.e hai
garche hai tarz-e-taġhāful parda-dār-e-rāz-e-ishq
par ham aise kho.e jaate haiñ ki vo pā jaa.e hai
us kī bazm-ārā.iyāñ sun kar dil-e-ranjūr yaañ
misl-e-naqsh-e-mudda.ā-e-ġhair baiThā jaa.e hai
ho ke āshiq vo parī-ruḳh aur nāzuk ban gayā
rañg khultā jaa.e hai jitnā ki uḌtā jaa.e hai
naqsh ko us ke musavvir par bhī kyā kyā naaz haiñ
khīñchtā hai jis qadar utnā hī khiñchtā jaa.e hai
saaya merā mujh se misl-e-dūd bhāge hai 'asad'
paas mujh ātish-ba-jāñ ke kis se Thahrā jaa.e hai |
guncha-e-naa-shagufta-ko-duur-se-mat-dikhaa-ki-yuun-mirza-ghalib-ghazals |
ġhuncha-e-nā-shagufta ko duur se mat dikhā ki yuuñ
bose ko pūchhtā huuñ maiñ muñh se mujhe batā ki yuuñ
pursish-e-tarz-e-dilbarī kījiye kyā ki bin kahe
us ke har ek ishāre se nikle hai ye adā ki yuuñ
raat ke vaqt mai piye saath raqīb ko liye
aa.e vo yaañ ḳhudā kare par na kare ḳhudā ki yuuñ
ġhair se raat kyā banī ye jo kahā to dekhiye
sāmne aan baiThnā aur ye dekhnā ki yuuñ
bazm meñ us ke rū-ba-rū kyuuñ na ḳhamosh baiThiye
us kī to ḳhāmushī meñ bhī hai yahī mudda.ā ki yuuñ
maiñ ne kahā ki bazm-e-nāz chāhiye ġhair se tahī
sun ke sitam-zarīf ne mujh ko uThā diyā ki yuuñ
mujh se kahā jo yaar ne jaate haiñ hosh kis tarah
dekh ke merī be-ḳhudī chalne lagī havā ki yuuñ
kab mujhe kū-e-yār meñ rahne kī vaz.a yaad thī
ā.ina-dār ban ga.ī hairat-e-naqsh-e-pā ki yuuñ
gar tire dil meñ ho ḳhayāl vasl meñ shauq kā zavāl
mauj muhīt-e-āb meñ maare hai dast-o-pā ki yuuñ
jo ye kahe ki reḳhta kyūñke ho rashk-e-fārsī
gufta-e-'ġhālib' ek baar paḌh ke use sunā ki yuuñ |
z-bas-ki-mashq-e-tamaashaa-junuun-alaamat-hai-mirza-ghalib-ghazals |
za-bas-ki mashq-e-tamāshā junūñ-alāmat hai
kushād-o-bast-e-mizhah sīli-e-nadāmat hai
na jānūñ kyūñki miTe dāġh-e-ta.an-e-bad-ahdī
tujhe ki aa.ina bhī varta-e-malāmat hai
ba-pech-o-tāb-e-havas silk-e-āfiyat mat toḌ
nigāh-e-ajz sar-e-rishta-e-salāmat hai
vafā muqābil-o-dāvā-e-ishq be-buniyād
junūn-e-sāḳhta o fasl-e-gul qayāmat hai |
ajab-nashaat-se-jallaad-ke-chale-hain-ham-aage-mirza-ghalib-ghazals |
ajab nashāt se jallād ke chale haiñ ham aage
ki apne saa.e se sar paañv se hai do qadam aage
qazā ne thā mujhe chāhā ḳharāb-e-bāda-e-ulfat
faqat ḳharāb likhā bas na chal sakā qalam aage
ġham-e-zamāna ne jhāḌī nashāt-e-ishq kī mastī
vagarna ham bhī uThāte the lazzat-e-alam aage
ḳhudā ke vāste daad us junūn-e-shauq kī denā
ki us ke dar pe pahuñchte haiñ nāma-bar se ham aage
ye umr bhar jo pareshāniyāñ uThā.ī haiñ ham ne
tumhāre aa.iyo ai turrah-hā-e-ḳham-ba-ḳham aage
dil o jigar meñ pur-afshāñ jo ek mauja-e-ḳhūñ hai
ham apne zom meñ samjhe hue the us ko dam aage
qasam janāze pe aane kī mere khāte haiñ 'ġhālib'
hamesha khāte the jo merī jaan kī qasam aage |
mat-mardumak-e-diida-men-samjho-ye-nigaahen-mirza-ghalib-ghazals |
mat mardumak-e-dīda meñ samjho ye nigāheñ
haiñ jam.a suvaidā-e-dil-e-chashm meñ aaheñ
kis dil pe hai azm-e-saf-e-mizhgān-e-ḳhud-ārā
ā.īne ke pāyāb se utrī haiñ sipāheñ
dair-o-haram ā.īna-e-takrār-e-tamannā
vāmāñdagī-e-shauq tarāshe hai panāheñ
juuñ mardumak-e-chashm se hoñ jam.a nigāheñ
ḳhvābīda ba-hairat-kada-e-dāġh haiñ aaheñ
phir halqa-e-kākul meñ paḌīñ diid kī rāheñ
juuñ duud farāham huiiñ rauzan meñ nigāheñ
paayā sar-e-har-zarra jigar-gosha-e-vahshat
haiñ daaġh se ma.amūr shaqā.iq kī kulāheñ
ye matl.a 'asad' jauhar-e-afsūn-e-suḳhan ho
gar arz-e-tapāk-e-jigar-e-soḳhta chāheñ
hairat-kash-e-yak-jalva-e-ma.anī haiñ nigāheñ
khīñchūñ huuñ suvaidā-e-dil-e-chashm se aa.heñ |
hasad-se-dil-agar-afsurda-hai-garm-e-tamaashaa-ho-mirza-ghalib-ghazals |
hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamāshā ho
ki chashm-e-tañg shāyad kasrat-e-nazzāra se vā ho
ba-qadr-e-hasrat-e-dil chāhiye zauq-e-ma.āsī bhī
bharūñ yak-gosha-e-dāman gar āb-e-haft-dariyā ho
agar vo sarv-qad garm-e-ḳhirām-e-nāz aa jaave
kaf-e-har-ḳhāk-e-gulshan shakl-e-qamrī nāla-farsā ho
baham bālīdan-e-sañg-o-gul-e-sahrā ye chāhe hai
ki tār-e-jāda bhī kohsār ko zunnār-e-mīnā ho
harīf-e-vahshat-e-nāz-e-nasīm-e-ishq jab aa.uuñ
ki misl-e-ġhuncha sāz-e-yak-gulistāñ dil muhayyā ho
bajā.e daana ḳhirman yak-bayābāñ baiza-e-qumrī
mirā hāsil vo nusḳha hai ki jis se ḳhaak paidā ho
kare kyā sāz-e-bīnish vo shahīd-e-dard-āgāhī
jise mū-e-dimāġh-e-be-ḳhudī ḳhvāb-e-zuleḳhā ho
dil-e-jūñ-sham.a bahr-e-dāvat-e-nazzāra lāya.anī
nigah labrez-e-ashk o siina ma.amūr-e-tamannā ho
na dekheñ rū-e-yak-dil sard ġhair-az sham-e-kafūrī
ḳhudāyā is qadar bazm-e-'asad' garm-e-tamāshā ho |
nukta-chiin-hai-gam-e-dil-us-ko-sunaae-na-bane-mirza-ghalib-ghazals |
nukta-chīñ hai ġham-e-dil us ko sunā.e na bane
kyā bane baat jahāñ baat banā.e na bane
maiñ bulātā to huuñ us ko magar ai jazba-e-dil
us pe ban jaa.e kuchh aisī ki bin aa.e na bane
khel samjhā hai kahīñ chhoḌ na de bhuul na jaa.e
kaash yuuñ bhī ho ki bin mere satā.e na bane
ġhair phirtā hai liye yuuñ tire ḳhat ko ki agar
koī pūchhe ki ye kyā hai to chhupā.e na bane
is nazākat kā burā ho vo bhale haiñ to kyā
haath aaveñ to unheñ haath lagā.e na bane
kah sake kaun ki ye jalvagarī kis kī hai
parda chhoḌā hai vo us ne ki uThā.e na bane
maut kī raah na dekhūñ ki bin aa.e na rahe
tum ko chāhūñ ki na aao to bulā.e na bane
bojh vo sar se girā hai ki uThā.e na uThe
kaam vo aan paḌā hai ki banā.e na bane
ishq par zor nahīñ hai ye vo ātish 'ġhālib'
ki lagā.e na lage aur bujhā.e na bane |
ho-gaii-hai-gair-kii-shiiriin-bayaanii-kaargar-mirza-ghalib-ghazals |
ho ga.ī hai ġhair kī shīrīñ-bayānī kārgar
ishq kā us ko gumāñ ham be-zabānoñ par nahīñ
zabt se matlab ba-juz vārastagī dīgar nahīñ
dāman-e-timsāl āb-e-ā.ina se tar nahīñ
bā.is-e-īzā hai barham-ḳhurdan-e-bazm-e-surūr
laḳht laḳht-e-shīsha-e-ba-shkasta juz nishtar nahīñ
dil ko iz.hār-e-suḳhan andāz-e-fat.h-ul-bāb hai
yaañ sarīr-e-ḳhāma ġhair-az-istikāk-e-dar nahīñ |
gila-hai-shauq-ko-dil-men-bhii-tangi-e-jaa-kaa-mirza-ghalib-ghazals |
gila hai shauq ko dil meñ bhī tañgi-e-jā kā
guhar meñ mahv huā iztirāb dariyā kā
ye jāntā huuñ ki tū aur pāsuḳh-e-maktūb
magar sitam-zada huuñ zauq-e-ḳhāma-farsā kā
hinā-e-pā-e-ḳhizāñ hai bahār agar hai yahī
davām-e-kulfat-e-ḳhātir hai aish duniyā kā
ġham-e-firāq meñ taklīf-e-sair-e-bāġh na do
mujhe dimāġh nahīñ ḳhanda-hā-e-bejā kā
hanūz mahrami-e-husn ko tarastā huuñ
kare hai har-bun-e-mū kaam chashm-e-bīnā kā
dil us ko pahle hī nāz-o-adā se de baiThe
hameñ dimāġh kahāñ husn ke taqāzā kā
na kah ki girya ba-miqdār-e-hasrat-e-dil hai
mirī nigāh meñ hai jam-o-ḳharch dariyā kā
falak ko dekh ke kartā huuñ us ko yaad 'asad'
jafā meñ us kī hai andāz kār-farmā kā
mirā shumūl har ik dil ke pech-o-tāb meñ hai
maiñ mudda.ā huuñ tapish-nāma-e-tamannā kā
milī na vus.at-e-jaulān yak junūñ ham ko
adam ko le ga.e dil meñ ġhubār sahrā kā |
ghar-jab-banaa-liyaa-tire-dar-par-kahe-bagair-mirza-ghalib-ghazals |
ghar jab banā liyā tire dar par kahe baġhair
jānegā ab bhī tū na mirā ghar kahe baġhair
kahte haiñ jab rahī na mujhe tāqat-e-suḳhan
jānūñ kisī ke dil kī maiñ kyūñkar kahe baġhair
kaam us se aa paḌā hai ki jis kā jahān meñ
leve na koī naam sitamgar kahe baġhair
jī meñ hī kuchh nahīñ hai hamāre vagarna ham
sar jaa.e yā rahe na raheñ par kahe baġhair
chhoḌūñgā maiñ na us but-e-kāfir kā pūjnā
chhoḌe na ḳhalq go mujhe kāfar kahe baġhair
maqsad hai nāz-o-ġhamza vale guftugū meñ kaam
chaltā nahīñ hai dashna-o-ḳhanjar kahe baġhair
har chand ho mushāhida-e-haq kī guftugū
bantī nahīñ hai bāda-o-sāġhar kahe baġhair
bahrā huuñ maiñ to chāhiye duunā ho iltifāt
suntā nahīñ huuñ baat mukarrar kahe baġhair
'ġhālib' na kar huzūr meñ tū baar baar arz
zāhir hai terā haal sab un par kahe baġhair |
kabhii-nekii-bhii-us-ke-jii-men-gar-aa-jaae-hai-mujh-se-mirza-ghalib-ghazals |
kabhī nekī bhī us ke jī meñ gar aa jaa.e hai mujh se
jafā.eñ kar ke apnī yaad sharmā jaa.e hai mujh se
ḳhudāyā jazba-e-dil kī magar tāsīr ulTī hai
ki jitnā khīñchtā huuñ aur khiñchtā jaa.e hai mujh se
vo bad-ḳhū aur merī dāstān-e-ishq tūlānī
ibārat muḳhtasar qāsid bhī ghabrā jaa.e hai mujh se
udhar vo bad-gumānī hai idhar ye nā-tavānī hai
na pūchhā jaa.e hai us se na bolā jaa.e hai mujh se
sambhalne de mujhe ai nā-ummīdī kyā qayāmat hai
ki dāmān-e-ḳhayāl-e-yār chhūTā jaa.e hai mujh se
takalluf bartaraf nazzārgī meñ bhī sahī lekin
vo dekhā jaa.e kab ye zulm dekhā jaa.e hai mujh se
hue haiñ paañv hī pahle nabard-e-ishq meñ zaḳhmī
na bhāgā jaa.e hai mujh se na Thahrā jaa.e hai mujh se
qayāmat hai ki hove mudda.ī kā ham-safar 'ġhālib'
vo kāfir jo ḳhudā ko bhī na sauñpā jaa.e hai mujh se |
sitam-kash-maslahat-se-huun-ki-khuubaan-tujh-pe-aashiq-hain-mirza-ghalib-ghazals |
sitam-kash maslahat se huuñ ki ḳhūbāñ tujh pe āshiq haiñ
takalluf bartaraf mil jā.egā tujh sā raqīb āḳhir |
nashsha-haa-shaadaab-e-rang-o-saaz-haa-mast-e-tarab-mirza-ghalib-ghazals |
nashsha-hā shādāb-e-rañg o sāz-hā mast-e-tarab
shīsha-e-mai sarv-e-sabz-e-jū-e-bār-e-naġhma hai
ham-nashīñ mat kah ki barham kar na bazm-e-aish-e-dost
vaañ to mere naale ko bhī e'tibār-e-naġhma hai |
kahuun-jo-haal-to-kahte-ho-muddaaa-kahiye-mirza-ghalib-ghazals |
kahūñ jo haal to kahte ho mudda.ā kahiye
tumhīñ kaho ki jo tum yuuñ kaho to kyā kahiye
na kahiyo ta.an se phir tum ki ham sitamgar haiñ
mujhe to ḳhū hai ki jo kuchh kaho bajā kahiye
vo neshtar sahī par dil meñ jab utar jaave
nigāh-e-nāz ko phir kyuuñ na āshnā kahiye
nahīñ zarīya-e-rāhat jarāhat-e-paikāñ
vo zaḳhm-e-teġh hai jis ko ki dil-kushā kahiye
jo mudda.ī bane us ke na mudda.ī baniye
jo nā-sazā kahe us ko na nā-sazā kahiye
kahīñ haqīqat-e-jāñ-kāhī-e-maraz likhiye
kahīñ musībat-e-nā-sāzī-e-davā kahiye
kabhī shikāyat-e-ranj-e-girāñ-nashīñ kiije
kabhī hikāyat-e-sabr-e-gurez-pā kahiye
rahe na jaan to qātil ko ḳhūñ-bahā diije
kaTe zabān to ḳhanjar ko marhabā kahiye
nahīñ nigār ko ulfat na ho nigār to hai
ravānī-e-ravish o mastī-e-adā kahiye
nahīñ bahār ko fursat na ho bahār to hai
tarāvat-e-chaman o ḳhūbī-e-havā kahiye
safīna jab ki kināre pe aa lagā 'ġhālib'
ḳhudā se kyā sitam-o-jaur-e-nā-ḳhudā kahiye |
hazaaron-khvaahishen-aisii-ki-har-khvaahish-pe-dam-nikle-mirza-ghalib-ghazals |
hazāroñ ḳhvāhisheñ aisī ki har ḳhvāhish pe dam nikle
bahut nikle mire armān lekin phir bhī kam nikle
Dare kyuuñ merā qātil kyā rahegā us kī gardan par
vo ḳhuuñ jo chashm-e-tar se umr bhar yuuñ dam-ba-dam nikle
nikalnā ḳhuld se aadam kā sunte aa.e haiñ lekin
bahut be-ābrū ho kar tire kūche se ham nikle
bharam khul jaa.e zālim tere qāmat kī darāzī kā
agar is turra-e-pur-pech-o-ḳham kā pech-o-ḳham nikle
magar likhvā.e koī us ko ḳhat to ham se likhvā.e
huī sub.h aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle
huī is daur meñ mansūb mujh se bāda-ashāmī
phir aayā vo zamāna jo jahāñ meñ jām-e-jam nikle
huī jin se tavaqqo ḳhastagī kī daad paane kī
vo ham se bhī ziyāda ḳhasta-e-teġh-e-sitam nikle
mohabbat meñ nahīñ hai farq jiine aur marne kā
usī ko dekh kar jiite haiñ jis kāfir pe dam nikle
kahāñ mai-ḳhāne kā darvāza 'ġhālib' aur kahāñ vaa.iz
par itnā jānte haiñ kal vo jaatā thā ki ham nikle |
lab-e-iisaa-kii-jumbish-kartii-hai-gahvaara-jambaanii-mirza-ghalib-ghazals |
lab-e-īsā kī jumbish kartī hai gahvāra-jumbānī
qayāmat kushta-e-la.al-e-butāñ kā ḳhvāb-e-sañgīñ hai
bayābān-e-fanā hai bād-e-sahrā-e-talab 'ġhālib'
pasīna tausan-e-himmat to sail-e-ḳhāna-e-zīñ hai |
koh-ke-hon-baar-e-khaatir-gar-sadaa-ho-jaaiye-mirza-ghalib-ghazals |
koh ke hoñ bār-e-ḳhātir gar sadā ho jā.iye
be-takalluf ai sharār-e-jasta kyā ho jā.iye
baiza-āsā nañg-e-bāl-o-par hai ye kunj-e-qafas
az-sar-e-nau zindagī ho gar rihā ho jā.iye
vus.at-e-mashrab niyāz-e-kulfat-e-vahshat 'asad'
yak-bayābāñ sāya-e-bāl-e-humā ho jā.iye |
dhotaa-huun-jab-main-piine-ko-us-siim-tan-ke-paanv-mirza-ghalib-ghazals |
dhotā huuñ jab maiñ piine ko us sīm-tan ke paañv
rakhtā hai zid se khīñch ke bāhar lagan ke paañv
dī sādgī se jaan paḌūñ kohkan ke paañv
haihāt kyuuñ na TuuT ga.e pīr-zan ke paañv
bhāge the ham bahut so usī kī sazā hai ye
ho kar asiir dābte haiñ rāhzan ke paañv
marham kī justujū meñ phirā huuñ jo duur duur
tan se sivā figār haiñ is ḳhasta-tan ke paañv
allāh-re zauq-e-dasht-navardī ki ba.ad-e-marg
hilte haiñ ḳhud-ba-ḳhud mire andar kafan ke paañv
hai josh-e-gul bahār meñ yaañ tak ki har taraf
uḌte hue ulajhte haiñ murġh-e-chaman ke paañv
shab ko kisī ke ḳhvāb meñ aayā na ho kahīñ
dukhte haiñ aaj us but-e-nāzuk-badan ke paañv
'ġhālib' mire kalām meñ kyūñkar mazā na ho
piitā huuñ dhoke ḳhusrav-e-shīrīñ-suḳhan ke paañv |
chashm-e-khuubaan-khaamushii-men-bhii-navaa-pardaaz-hai-mirza-ghalib-ghazals |
chashm-e-ḳhūbāñ ḳhāmushī meñ bhī navā-pardāz hai
surma to kahve ki dūd-e-sho.ala-e-āvāz hai
paikar-e-ushshāq sāz-e-tāla-e-nā-sāz hai
naala goyā gardish-e-saiyyāra kī āvāz hai
dast-gāh-e-dīda-e-ḳhūñ-bār-e-majnūñ dekhnā
yak-bayābāñ jalva-e-gul farsh-e-pā-andāz hai
chashm-e-ḳhūbāñ mai-farosh-e-nashshah-zār-e-nāz hai
surma goyā mauj-e-dūd-e-shola-e-āvāz hai
hai sarīr-e-ḳhāma rezish-hā-e-istiqbāl-e-nāz
naama ḳhud paiġhām ko bāl-o-par-e-parvāz hai
sar-navisht-e-iztirāb-anjāmi-e-ulfat na pūchh
nāl-e-ḳhāma ḳhār-ḳhār-e-ḳhātir-e-āġhāz hai
shoḳhi-e-iz.hār ġhair-az-vahshat-e-majnūñ nahīñ
lailā-e-manī 'asad' mahmil-nashīn-e-rāz hai
naġhma hai kānoñ meñ us ke nāla-e-murġh-e-asīr
rishta-e-pā yaañ navā-sāmān-e-band-e-sāz hai
sharm hai tarz-e-talāsh-e-intiḳhāb-e-yak-nigāh
iztirāb-e-chashm barpā doḳhta-ġhammāz hai |
qafas-men-huun-gar-achchhaa-bhii-na-jaanen-mere-shevan-ko-mirza-ghalib-ghazals |
qafas meñ huuñ gar achchhā bhī na jāneñ mere shevan ko
mirā honā burā kyā hai navā-sanjān-e-gulshan ko
nahīñ gar hamdamī āsāñ na ho ye rashk kyā kam hai
na dī hotī ḳhudāyā ārzū-e-dost dushman ko
na niklā aañkh se terī ik aañsū us jarāhat par
kiyā siine meñ jis ne ḳhūñ-chakāñ mizhgān-e-sozan ko
ḳhudā sharmā.e hāthoñ ko ki rakhte haiñ kashākash meñ
kabhī mere garebāñ ko kabhī jānāñ ke dāman ko
abhī ham qatl-gah kā dekhnā āsāñ samajhte haiñ
nahīñ dekhā shanāvar jū-e-ḳhūñ meñ tere tausan ko
huā charchā jo mere paañv kī zanjīr banñe kā
kiyā betāb kaañ meñ jumbish-e-jauhar ne aahan ko
ḳhushī kyā khet par mere agar sau baar abr aave
samajhtā huuñ ki DhūñDe hai abhī se barq ḳhirman ko
vafā-dārī ba-shart-e-ustuvārī asl īmāñ hai
mare but-ḳhāne meñ to ka.abe meñ gaaḌo barahman ko
shahādat thī mirī qismat meñ jo dī thī ye ḳhū mujh ko
jahāñ talvār ko dekhā jhukā detā thā gardan ko
na luTtā din ko to kab raat ko yuuñ be-ḳhabar sotā
rahā khaTkā na chorī kā duā detā huuñ rahzan ko
suḳhan kyā kah nahīñ sakte ki juuyā huuñ javāhir ke
jigar kyā ham nahīñ rakhte ki khodeñ jā ke ma.adan ko
mire shāh-e-sulaimāñ-jāh se nisbat nahīñ 'ġhālib'
farīdūn o jam o ke ḳhusrav o dārāb o bahman ko |
huun-main-bhii-tamaashaai-e-nairang-e-tamannaa-mirza-ghalib-ghazals |
huuñ maiñ bhī tamāshā.i-e-nairañg-e-tamannā
matlab nahīñ kuchh is se ki matlab hī bar aave |
qayaamat-hai-ki-sun-lailaa-kaa-dasht-e-qais-men-aanaa-mirza-ghalib-ghazals |
qayāmat hai ki sun lailā kā dasht-e-qais meñ aanā
ta.ajjub se vo bolā yuuñ bhī hotā hai zamāne meñ
dil-e-nāzuk pe us ke rahm aatā hai mujhe 'ġhālib'
na kar sargarm us kāfir ko ulfat āzmāne meñ |
mehrbaan-ho-ke-bulaa-lo-mujhe-chaaho-jis-vaqt-mirza-ghalib-ghazals |
mehrbāñ ho ke bulā lo mujhe chāho jis vaqt
maiñ gayā vaqt nahīñ huuñ ki phir aa bhī na sakūñ
zo.af meñ tāna-e-aġhyār kā shikva kyā hai
baat kuchh sar to nahīñ hai ki uThā bhī na sakūñ
zahr miltā hī nahīñ mujh ko sitamgar varna
kyā qasam hai tire milne kī ki khā bhī na sakūñ
is qadar zabt kahāñ hai kabhī aa bhī na sakūñ
sitam itnā to na kiije ki uThā bhī na sakūñ
lag ga.ī aag agar ghar ko to andesha kyā
sho.ala-e-dil to nahīñ hai ki bujhā bhī na sakūñ
tum na aaoge to marne kī haiñ sau tadbīreñ
maut kuchh tum to nahīñ ho ki bulā bhī na sakūñ
hañs ke bulvā.iye miT jā.egā sab dil kā gila
kyā tasavvur hai tumhārā ki miTā bhī na sakūñ |
zindagii-apnii-jab-is-shakl-se-guzrii-gaalib-mirza-ghalib-ghazals |
zindagī apnī jab is shakl se guzrī 'ġhālib'
ham bhī kyā yaad kareñge ki ḳhudā rakhte the |
phir-kuchh-ik-dil-ko-be-qaraarii-hai-mirza-ghalib-ghazals |
phir kuchh ik dil ko be-qarārī hai
siina juyā-e-zaḳhm-e-kārī hai
phir jigar khodne lagā nāḳhun
āmad-e-fasl-e-lāla-kārī hai
qibala-e-maqsad-e-nigāh-e-niyāz
phir vahī parda-e-amārī hai
chashm dallāl-e-jins-e-rusvā.ī
dil ḳharīdār-e-zauq-e-ḳhvārī hai
vahī sad-rañg nāla-farsā.ī
vahī sad-gona ashk-bārī hai
dil havā-e-ḳhirām-e-nāz se phir
mahsharistān-e-be-qarārī hai
jalva phir arz-e-nāz kartā hai
roz bāzār-e-jāñ-sipārī hai
phir usī bevafā pe marte haiñ
phir vahī zindagī hamārī hai
phir khulā hai dar-e-adālat-e-nāz
garm-bāzār-e-faujdārī hai
ho rahā hai jahān meñ andher
zulf kī phir sirishta-dārī hai
phir diyā pāra-e-jigar ne savāl
ek fariyād o āh-o-zārī hai
phir hue haiñ gavāh-e-ishq talab
ashk-bārī kā hukm-jārī hai
dil o mizhgāñ kā jo muqaddama thā
aaj phir us kī rū-bakārī hai
be-ḳhudī be-sabab nahīñ 'ġhālib'
kuchh to hai jis kī parda-dārī hai |
mastii-ba-zauq-e-gaflat-e-saaqii-halaak-hai-mirza-ghalib-ghazals |
mastī ba-zauq-e-ġhaflat-e-sāqī halāk hai
mauj-e-sharāb yak-mizha-e-ḳhvāb-nāk hai
juz zaḳhm-e-teġh-e-nāz nahīñ dil meñ aarzū
jeb-e-ḳhayāl bhī tire hāthoñ se chaak hai
josh-e-junūñ se kuchh nazar aatā nahīñ 'asad'
sahrā hamārī aañkh meñ yak-musht-e-ḳhāk hai |
na-thaa-kuchh-to-khudaa-thaa-kuchh-na-hotaa-to-khudaa-hotaa-mirza-ghalib-ghazals |
na thā kuchh to ḳhudā thā kuchh na hotā to ḳhudā hotā
Duboyā mujh ko hone ne na hotā maiñ to kyā hotā
huā jab ġham se yuuñ be-his to ġham kyā sar ke kaTne kā
na hotā gar judā tan se to zaanū par dharā hotā
huī muddat ki 'ġhālib' mar gayā par yaad aatā hai
vo har ik baat par kahnā ki yuuñ hotā to kyā hotā |
dil-hii-to-hai-na-sang-o-khisht-dard-se-bhar-na-aae-kyuun-mirza-ghalib-ghazals |
dil hī to hai na sañg-o-ḳhisht dard se bhar na aa.e kyuuñ
ro.eñge ham hazār baar koī hameñ satā.e kyuuñ
dair nahīñ haram nahīñ dar nahīñ āstāñ nahīñ
baiThe haiñ rahguzar pe ham ġhair hameñ uThā.e kyuuñ
jab vo jamāl-e-dil-faroz sūrat-e-mehr-e-nīm-roz
aap hī ho nazzāra-soz parde meñ muñh chhupā.e kyuuñ
dashna-e-ġhamza jāñ-sitāñ nāvak-e-nāz be-panāh
terā hī aks-e-ruḳh sahī sāmne tere aa.e kyuuñ
qaid-e-hayāt o band-e-ġham asl meñ donoñ ek haiñ
maut se pahle aadmī ġham se najāt paa.e kyuuñ
husn aur us pe husn-e-zan rah ga.ī bul-havas kī sharm
apne pe e'timād hai ġhair ko āzmā.e kyuuñ
vaañ vo ġhurūr-e-izz-o-nāz yaañ ye hijāb-e-pās-e-vaza.a
raah meñ ham mileñ kahāñ bazm meñ vo bulā.e kyuuñ
haañ vo nahīñ ḳhudā-parast jaao vo bevafā sahī
jis ko ho diin o dil aziiz us kī galī meñ jaa.e kyuuñ
'ġhālib'-e-ḳhasta ke baġhair kaun se kaam band haiñ
roiye zaar zaar kyā kījiye haa.e haa.e kyuuñ |
mirii-hastii-fazaa-e-hairat-aabaad-e-tamannaa-hai-mirza-ghalib-ghazals |
mirī hastī fazā-e-hairat ābād-e-tamannā hai
jise kahte haiñ naala vo usī aalam kā anqā hai
ḳhizāñ kyā fasl-e-gul kahte haiñ kis ko koī mausam ho
vahī ham haiñ qafas hai aur mātam bāl-o-par kā hai
vafā-e-dilbarāñ hai ittifāqī varna ai hamdam
asar fariyād-e-dil-hā-e-hazīñ kā kis ne dekhā hai
na laa.ī shoḳhi-e-andesha tāb-e-rañj-e-naumīdī
kaf-e-afsos milnā ahd-e-tajdīd-e-tamannā hai
na sove ābloñ meñ gar sirishk-e-dīda-e-nam se
ba-jaulāñ-gāh-e-naumīdī nigāh-e-ājizāñ pā hai
ba-saḳhtī-hā-e-qaid-e-zindagī mālūm āzādī
sharar bhī said-e-dām-e-rishta-e-rag-hā-e-ḳhārā hai
taġhāful-mashrabī se nā-tamāmī bas-ki paidā hai
nigāh-e-nāz chashm-e-yār meñ zunnār-e-mīnā hai
tasarruf vahshiyoñ meñ hai tasavvur-hā-e-majnūñ kā
savād-e-chashm-e-āhū aks-e-ḳhāl-e-rū-e-lailā hai
mohabbat tarz-e-paivand-e-nihāl-e-dostī jaane
davīdan resha saañ muft-e-rag-e-ḳhvāb-e-zuleḳhā hai
kiyā yak-sar gudāz-e-dil niyāz-e-joshish-e-hasrat
suvaidā nusḳha-e-tah-bandi-e-dāġh-e-tamannā hai
hujūm-e-rezish-e-ḳhūñ ke sabab rañg uḌ nahīñ saktā
hinā-e-panja-e-saiyyād murġh-e-rishta bar-pā hai
asar soz-e-mohabbat kā qayāmat be-muhābā hai
ki rag se sañg meñ tuḳhm-e-sharar kā resha paidā hai
nihāñ hai gauhar-e-maqsūd jeb-e-ḳhud-shanāsī meñ
ki yaañ ġhavvās hai timsāl aur ā.īna dariyā hai
azīzo zikr-e-vasl-e-ġhair se mujh ko na bahlāo
ki yaañ afsūn-e-ḳhvāb afsāna-e-ḳhvāb-e-zulaiḳhā hai
tasavvur bahr-e-taskīn-e-tapīdan-hā-e-tifl-e-dil
ba-bāġh-e-rañg-hā-e-rafta gul-chīn-e-tamāshā hai
ba-sa.i-e-ġhair hai qat-e-libās-e-ḳhāna-vīrānī
ki nāz-e-jāda-e-rah rishta-e-dāmān-e-sahrā hai |
lo-ham-mariiz-e-ishq-ke-biimaar-daar-hain-mirza-ghalib-ghazals |
lo ham marīz-e-ishq ke bīmār-dār haiñ
achchhā agar na ho to masīhā kā kyā ilaaj |
ishq-mujh-ko-nahiin-vahshat-hii-sahii-mirza-ghalib-ghazals |
ishq mujh ko nahīñ vahshat hī sahī
merī vahshat tirī shohrat hī sahī
qat.a kiije na ta.alluq ham se
kuchh nahīñ hai to adāvat hī sahī
mere hone meñ hai kyā rusvā.ī
ai vo majlis nahīñ ḳhalvat hī sahī
ham bhī dushman to nahīñ haiñ apne
ġhair ko tujh se mohabbat hī sahī
apnī hastī hī se ho jo kuchh ho
āgahī gar nahīñ ġhaflat hī sahī
umr har-chand ki hai barq-e-ḳhirām
dil ke ḳhuuñ karne kī fursat hī sahī
ham koī tark-e-vafā karte haiñ
na sahī ishq musībat hī sahī
kuchh to de ai falak-e-nā-insāf
aah o fariyād kī ruḳhsat hī sahī
ham bhī taslīm kī ḳhū Dāleñge
be-niyāzī tirī aadat hī sahī
yaar se chheḌ chalī jaa.e 'asad'
gar nahīñ vasl to hasrat hī sahī |
dekh-kar-dar-parda-garm-e-daaman-afshaanii-mujhe-mirza-ghalib-ghazals |
dekh kar dar-parda garm-e-dāman-afshānī mujhe
kar ga.ī vābasta-e-tan merī uryānī mujhe
ban gayā teġh-e-nigāh-e-yār kā sañg-e-fasāñ
marhabā maiñ kyā mubārak hai girāñ-jānī mujhe
kyuuñ na ho be-iltifātī us kī ḳhātir jam.a hai
jāntā hai mahv-e-pursish-hā-e-pinhānī mujhe
mere ġham-ḳhāne kī qismat jab raqam hone lagī
likh diyā min-jumla-e-asbāb-e-vīrānī mujhe
bad-gumāñ hotā hai vo kāfir na hotā kaash ke
is qadar zauq-e-navā-e-murġh-e-bustānī mujhe
vaa.e vaañ bhī shor-e-mahshar ne na dam lene diyā
le gayā thā gor meñ zauq-e-tan-āsānī mujhe
va.ada aane kā vafā kiije ye kyā andāz hai
tum ne kyuuñ sauñpī hai mere ghar kī darbānī mujhe
haañ nashāt-e-āmad-e-fasl-e-bahārī vaah vaah
phir huā hai taaza saudā-e-ġhazal-ḳhvānī mujhe
dī mire bhaa.ī ko haq ne az-sar-e-nau zindagī
mīrzā yūsuf hai 'ġhālib' yūsuf-e-sānī mujhe |
raftaar-e-umr-qat-e-rah-e-iztiraab-hai-mirza-ghalib-ghazals |
raftār-e-umr qat-e-rah-e-iztirāb hai
is saal ke hisāb ko barq āftāb hai
mīnā-e-mai hai sarv nashāt-e-bahār se
bāl-e-tadrrav jalva-e-mauj-e-sharāb hai
zaḳhmī huā hai pāshna pā-e-sabāt kā
ne bhāgne kī guuñ na iqāmat kī taab hai
jādād-e-bāda-noshī-e-rindāñ hai shash-jihat
ġhāfil gumāñ kare hai ki getī ḳharāb hai
nazzāra kyā harīf ho us barq-e-husn kā
josh-e-bahār jalve ko jis ke naqāb hai
maiñ nā-murād dil kī tasallī ko kyā karūñ
maanā ki tere ruḳh se nigah kāmyāb hai
guzrā 'asad' masarrat-e-paiġhām-e-yār se
qāsid pe mujh ko rashk-e-savāl-o-javāb hai
zāhir hai tarz-e-qaid se sayyād kī ġharaz
jo daana daam meñ hai so ashk-e-kabāb hai
be-chashm-e-dil na kar havas-e-sair-e-lāla-zār
ya.anī ye har varaq varaq-e-intiḳhāb hai |
muddat-huii-hai-yaar-ko-mehmaan-kiye-hue-mirza-ghalib-ghazals |
muddat huī hai yaar ko mehmāñ kiye hue
josh-e-qadah se bazm charāġhāñ kiye hue
kartā huuñ jam.a phir jigar-e-laḳht-laḳht ko
arsa huā hai dāvat-e-mizhgāñ kiye hue
phir vaz-e-ehtiyāt se rukne lagā hai dam
barsoñ hue haiñ chaak garebāñ kiye hue
phir garm-nāla-hā-e-sharar-bār hai nafas
muddat huī hai sair-e-charāġhāñ kiye hue
phir pursish-e-jarāhat-e-dil ko chalā hai ishq
sāmān-e-sad-hazār namak-dāñ kiye hue
phir bhar rahā huuñ ḳhāma-e-mizhgāñ ba-ḳhūn-e-dil
sāz-e-chaman tarāzi-e-dāmāñ kiye hue
bāham-digar hue haiñ dil o diida phir raqīb
nazzāra o ḳhayāl kā sāmāñ kiye hue
dil phir tavāf-e-kū-e-malāmat ko jaa.e hai
pindār kā sanam-kada vīrāñ kiye hue
phir shauq kar rahā hai ḳharīdār kī talab
arz-e-matā-e-aql-o-dil-o-jāñ kiye hue
dauḌe hai phir har ek gul-o-lāla par ḳhayāl
sad-gulistāñ nigāh kā sāmāñ kiye hue
phir chāhtā huuñ nāma-e-dildār kholnā
jaañ nazr-e-dil-farebi-e-unvāñ kiye hue
māñge hai phir kisī ko lab-e-bām par havas
zulf-e-siyāh ruḳh pe pareshāñ kiye hue
chāhe hai phir kisī ko muqābil meñ aarzū
surme se tez dashna-e-mizhgāñ kiye hue
ik nau-bahār-e-nāz ko taake hai phir nigāh
chehra faroġh-e-mai se gulistāñ kiye hue
phir jī meñ hai ki dar pe kisī ke paḌe raheñ
sar zer-bār-e-minnat-e-darbāñ kiye hue
jī DhūñDtā hai phir vahī fursat ki raat din
baiThe raheñ tasavvur-e-jānāñ kiye hue
'ġhālib' hameñ na chheḌ ki phir josh-e-ashk se
baiThe haiñ ham tahayya-e-tūfāñ kiye hue |
gar-tujh-ko-hai-yaqiin-e-ijaabat-duaa-na-maang-mirza-ghalib-ghazals |
gar tujh ko hai yaqīn-e-ijābat duā na maañg
ya.anī baġhair-e-yak-dil-e-be-mudda.ā na maañg
aatā hai dāġh-e-hasrat-e-dil kā shumār yaad
mujh se mire gunah kā hisāb ai ḳhudā na maañg
ai aarzū shahīd-e-vafā ḳhūñ-bahā na maañg
juz bahr-e-dast-o-bāzu-e-qātil duā na maañg
barham hai bazm-e-ġhuncha ba-yak-junbish-e-nashāt
kāshāna bas-ki tañg hai ġhāfil havā na maañg
maiñ duur gard-e-arz-e-rusūm-e-niyāz huuñ
dushman samajh vale nigah-e-āshnā na maañg
yak-baḳht auj nazr-e-subuk-bārī-e-'asad'
sar par vabāl-e-sāya-e-bāl-e-humā na maañg
gustāḳhī-e-visāl hai mashshāta-e-niyāz
ya.anī duā ba-juz ḳham-e-zulf-e-dotā na maañg
iisā tilism husn taġhāful hai zīnhār
juz pusht chashm nusḳha arz davā na maañg
dīgar o dil ḳhūnīñ nafas |
kisii-ko-de-ke-dil-koii-navaa-sanj-e-fugaan-kyuun-ho-mirza-ghalib-ghazals |
kisī ko de ke dil koī navā-sañj-e-fuġhāñ kyuuñ ho
na ho jab dil hī siine meñ to phir muñh meñ zabāñ kyuuñ ho
vo apnī ḳhū na chhoḌeñge ham apnī vaz.a kyuuñ chhoḌeñ
subuk-sar ban ke kyā pūchheñ ki ham se sargirāñ kyuuñ ho
kiyā ġham-ḳhvār ne rusvā lage aag is mohabbat ko
na laave taab jo ġham kī vo merā rāz-dāñ kyuuñ ho
vafā kaisī kahāñ kā ishq jab sar phoḌnā Thahrā
to phir ai sañg-dil terā hī sañg-e-āstāñ kyuuñ ho
qafas meñ mujh se rūdād-e-chaman kahte na Dar hamdam
girī hai jis pe kal bijlī vo merā āshiyāñ kyuuñ ho
ye kah sakte ho ham dil meñ nahīñ haiñ par ye batlāo
ki jab dil meñ tumhīñ tum ho to āñkhoñ se nihāñ kyuuñ ho
ġhalat hai jazb-e-dil kā shikva dekho jurm kis kā hai
na khīñcho gar tum apne ko kashākash darmiyāñ kyuuñ ho
ye fitna aadmī kī ḳhāna-vīrānī ko kyā kam hai
hue tum dost jis ke dushman us kā āsmāñ kyuuñ ho
yahī hai āzmānā to satānā kis ko kahte haiñ
adū ke ho liye jab tum to merā imtihāñ kyuuñ ho
kahā tum ne ki kyuuñ ho ġhair ke milne meñ rusvā.ī
bajā kahte ho sach kahte ho phir kahiyo ki haañ kyuuñ ho
nikālā chāhtā hai kaam kyā ta.anoñ se tū 'ġhālib'
tire be-mehr kahne se vo tujh par mehrbāñ kyuuñ ho |
husn-e-mah-garche-ba-hangaam-e-kamaal-achchhaa-hai-mirza-ghalib-ghazals |
husn-e-mah garche ba-hañgām-e-kamāl achchhā hai
us se merā mah-e-ḳhurshīd-jamāl achchhā hai
bosa dete nahīñ aur dil pe hai har lahza nigāh
jī meñ kahte haiñ ki muft aa.e to maal achchhā hai
aur bāzār se le aa.e agar TuuT gayā
sāġhar-e-jam se mirā jām-e-sifāl achchhā hai
be-talab deñ to mazā us meñ sivā miltā hai
vo gadā jis ko na ho ḳhū-e-savāl achchhā hai
un ke dekhe se jo aa jaatī hai muñh par raunaq
vo samajhte haiñ ki bīmār kā haal achchhā hai
dekhiye paate haiñ ushshāq butoñ se kyā faiz
ik barhaman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
ham-suḳhan tesha ne farhād ko shīrīñ se kiyā
jis tarah kā ki kisī meñ ho kamāl achchhā hai
qatra dariyā meñ jo mil jaa.e to dariyā ho jaa.e
kaam achchhā hai vo jis kā ki ma.aal achchhā hai
ḳhizr-sultāñ ko rakhe ḳhāliq-e-akbar sarsabz
shaah ke baaġh meñ ye taaza nihāl achchhā hai
ham ko ma.alūm hai jannat kī haqīqat lekin
dil ke ḳhush rakhne ko 'ġhālib' ye ḳhayāl achchhā hai |
tuu-dost-kisuu-kaa-bhii-sitamgar-na-huaa-thaa-mirza-ghalib-ghazals |
tū dost kasū kā bhī sitamgar na huā thā
auroñ pe hai vo zulm ki mujh par na huā thā
chhoḌā mah-e-naḳhshab kī tarah dast-e-qazā ne
ḳhurshīd hunūz us ke barābar na huā thā
taufīq ba-andāza-e-himmat hai azal se
āñkhoñ meñ hai vo qatra ki gauhar na huā thā
jab tak ki na dekhā thā qad-e-yār kā aalam
maiñ mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na huā thā
maiñ sāda-dil āzurdagi-e-yār se ḳhush huuñ
ya.anī sabaq-e-shauq mukarrar na huā thā
dariyā-e-ma.āsī tunuk-ābī se huā ḳhushk
merā sar-e-dāman bhī abhī tar na huā thā
jaarī thī 'asad' dāġh-e-jigar se mirī tahsīl
ātish-kada jāgīr-e-samundar na huā thā |
hai-bas-ki-har-ik-un-ke-ishaare-men-nishaan-aur-mirza-ghalib-ghazals |
hai bas-ki har ik un ke ishāre meñ nishāñ aur
karte haiñ mohabbat to guzartā hai gumāñ aur
yā-rab vo na samjhe haiñ na samjheñge mirī baat
de aur dil un ko jo na de mujh ko zabāñ aur
abrū se hai kyā us nigah-e-nāz ko paivand
hai tiir muqarrar magar is kī hai kamāñ aur
tum shahr meñ ho to hameñ kyā ġham jab uTheñge
le ā.eñge bāzār se jā kar dil o jaañ aur
har chand subuk-dast hue but-shikanī meñ
ham haiñ to abhī raah meñ hai sañg-e-girāñ aur
hai ḳhūn-e-jigar josh meñ dil khol ke rotā
hote jo ka.ī dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ aur
martā huuñ is āvāz pe har chand sar uḌ jaa.e
jallād ko lekin vo kahe jaa.eñ ki haañ aur
logoñ ko hai ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb kā dhokā
har roz dikhātā huuñ maiñ ik dāġh-e-nihāñ aur
letā na agar dil tumheñ detā koī dam chain
kartā jo na martā koī din āh-o-fuġhāñ aur
paate nahīñ jab raah to chaḌh jaate haiñ naale
ruktī hai mirī tab.a to hotī hai ravāñ aur
haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhan-var bahut achchhe
kahte haiñ ki 'ġhālib' kā hai andāz-e-bayāñ aur |
shab-khumaar-e-shauq-e-saaqii-rustakhez-andaaza-thaa-mirza-ghalib-ghazals |
shab ḳhumār-e-shauq-e-sāqī rustaḳhez-andāza thā
tā-muhīt-e-bāda sūrat ḳhāna-e-ḳhamyāza thā
yak qadam vahshat se dars-e-daftar-e-imkāñ khulā
jaada ajzā-e-do-ālam dasht kā shīrāza thā
māna-e-vahshat-ḳhirāmī-hā-e-lailā kaun hai
ḳhāna-e-majnūn-e-sahrā-gard be-darvāza thā
pūchh mat rusvā.i-e-andāz-e-istiġhnā-e-husn
dast marhūn-e-hinā ruḳhsār rahn-e-ġhāza thā
nāla-e-dil ne diye aurāq-e-laḳht-e-dil ba-bād
yād-gār-e-nāla ik dīvān-e-be-shīrāza thā
huuñ charāġhān-e-havas juuñ kāġhaz-e-ātish-zada
daaġh garm-e-koshish-e-ījād-e-dāġh-e-tāza thā
be-navā.ī tar sadā-e-naġhma-e-shohrat 'asad'
boriyā yak nīstāñ-ālam buland āvāza thā |
zakhm-par-chhidken-kahaan-tiflaan-e-be-parvaa-namak-mirza-ghalib-ghazals |
zaḳhm par chhiḌkeñ kahāñ tiflān-e-be-parvā namak
kyā maza hotā agar patthar meñ bhī hotā namak
gard-e-rāh-e-yār hai sāmān-e-nāz-e-zaḳhm-e-dil
varna hotā hai jahāñ meñ kis qadar paidā namak
mujh ko arzānī rahe tujh ko mubārak hojiyo
nāla-e-bulbul kā dard aur ḳhanda-e-gul kā namak
shor-e-jaulāñ thā kanār-e-bahr par kis kā ki aaj
gard-e-sāhil hai ba-zaḳhm-e-mauja-e-dariyā namak
daad detā hai mire zaḳhm-e-jigar kī vaah vaah
yaad kartā hai mujhe dekhe hai vo jis jā namak
chhoḌ kar jaanā tan-e-majrūh-e-āshiq haif hai
dil talab kartā hai zaḳhm aur māñge haiñ a.azā namak
ġhair kī minnat na khīñchūñgā pai-e-taufīr-e-dard
zaḳhm misl-e-ḳhanda-e-qātil hai sar-tā-pā namak
yaad haiñ 'ġhālib' tujhe vo din ki vajd-e-zauq meñ
zaḳhm se girtā to maiñ palkoñ se chuntā thā namak
is amal meñ aish kī lazzat nahīñ miltī 'asad'
zor nisbat mai se rakhtā hai azārā kā namak |
shab-ki-barq-e-soz-e-dil-se-zahra-e-abr-aab-thaa-mirza-ghalib-ghazals |
shab ki barq-e-soz-e-dil se zahra-e-abr aab thā
sho.ala-e-javvāla har yak halqa-e-girdāb thā
vaañ karam ko uzr-e-bārish thā ināñ-gīr-e-ḳhirām
girye se yaañ pumba-e-bālish kaf-e-sailāb thā
vaañ ḳhud-ārā.ī ko thā motī pirone kā ḳhayāl
yaañ hujūm-e-ashk meñ tār-e-nigah nāyāb thā
jalva-e-gul ne kiyā thā vaañ charāġhāñ aabjū
yaañ ravāñ mizhgān-e-chashm-e-tar se ḳhūn-e-nāb thā
yaañ sar-e-pur-shor be-ḳhvābī se thā dīvār-jū
vaañ vo farq-e-nāz mahv-e-bālish-e-kim-ḳhvāb thā
yaañ nafas kartā thā raushan sham-e-bazm-e-be-ḳhudī
jalva-e-gul vaañ bisāt-e-sohbat-e-ahbāb thā
farsh se tā arsh vaañ tūfāñ thā mauj-e-rañg kā
yaañ zamīñ se āsmāñ tak soḳhtan kā baab thā
nā-gahāñ is rañg se ḳhūnāba Tapkāne lagā
dil ki zauq-e-kāvish-e-nāḳhun se lazzat-yāb thā |
diivaangii-se-dosh-pe-zunnaar-bhii-nahiin-mirza-ghalib-ghazals |
dīvāngī se dosh pe zunnār bhī nahīñ
ya.anī hamāre jeb meñ ik taar bhī nahīñ
dil ko niyāz-e-hasrat-e-dīdār kar chuke
dekhā to ham meñ tāqat-e-dīdār bhī nahīñ
milnā tirā agar nahīñ āsāñ to sahl hai
dushvār to yahī hai ki dushvār bhī nahīñ
be-ishq umr kaT nahīñ saktī hai aur yaañ
tāqat ba-qadr-e-lazzat-e-āzār bhī nahīñ
shorīdgī ke haath se hai sar vabāl-e-dosh
sahrā meñ ai ḳhudā koī dīvār bhī nahīñ
gunjā.ish-e-adāvat-e-aġhyār yak taraf
yaañ dil meñ zo.af se havas-e-yār bhī nahīñ
Dar nāla-hā-e-zār se mere ḳhudā ko maan
āḳhir navā-e-murġh-e-giraftār bhī nahīñ
dil meñ hai yaar kī saf-e-mizhgāñ se rū-kashī
hālāñki tāqat-e-ḳhalish-e-ḳhār bhī nahīñ
is sādgī pe kaun na mar jaa.e ai ḳhudā
laḌte haiñ aur haath meñ talvār bhī nahīñ
dekhā 'asad' ko ḳhalvat-o-jalvat meñ bār-hā
dīvāna gar nahīñ hai to hushyār bhī nahīñ |
jaur-se-baaz-aae-par-baaz-aaen-kyaa-mirza-ghalib-ghazals |
jaur se baaz aa.e par baaz aa.eñ kyā
kahte haiñ ham tujh ko muñh dikhlā.eñ kyā
raat din gardish meñ haiñ saat āsmāñ
ho rahegā kuchh na kuchh ghabrā.eñ kyā
laag ho to us ko ham samjheñ lagāo
jab na ho kuchh bhī to dhokā khā.eñ kyā
ho liye kyuuñ nāma-bar ke saath saath
yā rab apne ḳhat ko ham pahuñchā.eñ kyā
mauj-e-ḳhūñ sar se guzar hī kyuuñ na jaa.e
āstān-e-yār se uTh jaa.eñ kyā
umr bhar dekhā kiyā marne kī raah
mar ga.e par dekhiye dikhlā.eñ kyā
pūchhte haiñ vo ki 'ġhālib' kaun hai
koī batlāo ki ham batlā.eñ kyā |
na-puuchh-nuskha-e-marham-jaraahat-e-dil-kaa-mirza-ghalib-ghazals |
na pūchh nusḳha-e-marham jarāhat-e-dil kā
ki us meñ reza-e-almās juzv-e-āzam hai
bahut dinoñ meñ taġhāful ne tere paidā kī
vo ik nigah ki ba-zāhir nigāh se kam hai |
siyaahii-jaise-gir-jaae-dam-e-tahriir-kaagaz-par-mirza-ghalib-ghazals |
siyāhī jaise gir jaa.e dam-e-tahrīr kāġhaz par
mirī qismat meñ yuuñ tasvīr hai shab-hā-e-hijrāñ kī
kahūñ kyā garm-joshī mai-kashī meñ sho.ala-rūyāñ kī
ki sham-e-ḳhāna-e-dil ātish-e-mai se farozāñ kī
hamesha mujh ko tiflī meñ bhī mashq-e-terah-rozī thī
siyāhī hai mire ayyām meñ lauh-e-dabistāñ kī
dareġh āh-e-sahar-gah kār-e-bād-e-sub.h kartī hai
ki hotī hai ziyāda sard-mehrī sham.a-rūyāñ kī
mujhe apne junūñ kī be-takalluf parda-dārī thī
va-lekin kyā karūñ aave jo rusvā.ī garebāñ kī
hunar paidā kiyā hai maiñ ne hairat-āzmā.ī meñ
ki jauhar aa.ine kā har palak hai chashm-e-hairāñ kī
ḳhudāyā kis qadar ahl-e-nazar ne ḳhaak chhānī hai
ki haiñ sad-raḳhna juuñ ġhirbāl dīvāreñ gulistāñ kī
huā sharm-e-tahī-dastī se se vo bhī sar-nigūñ āḳhir
bas ai zaḳhm-e-jigar ab dekh le shorish namak-dāñ kī
bayād-e-garmī-e-sohbat ba-rañg-e-sho.ala dahke hai
chhupā.ūñ kyūñki 'ġhālib' sozisheñ dāġh-e-numāyāñ kī
junūñ tohmat-kash-e-taskīñ na ho gar shādmānī kī
namak-pāsh-e-ḳharāsh-e-dil hai lazzat zindagānī kī
kashākash-hā-e-hastī se kare kyā sa.i-e-āzādī
hui zanjīr-e-mauj-e-āb ko fursat ravānī kī
na khīñch ai sa.ī-e-dast-e-nā-rasā zulf-e-tamannā ko
pareshāñ-tar hai mū-e-ḳhāma se tadbīr maanī kī
kahāñ ham bhī rag-o-pai rakhte haiñ insāf bahattar hai
na khīñche tāqat-e-ḳhamyāza tohmat nā-tavānī kī
takalluf-bartaraf farhād aur itnī subukdastī
ḳhayāl āsāñ thā lekin ḳhvāb-e-ḳhusrav ne girānī kī
pas-az-murdan bhī dīvāna ziyārat-gāh-e-tiflāñ hai
sharār-e-sañg ne turbat pe merī gul-fishānī kī
'asad' ko boriye meñ dhar ke phūñkā mauj-e-hastī ne
faqīrī meñ bhī baaqī hai sharārat naujavānī kī |
jab-tak-dahaan-e-zakhm-na-paidaa-kare-koii-mirza-ghalib-ghazals |
jab tak dahān-e-zaḳhm na paidā kare koī
mushkil ki tujh se rāh-e-suḳhan vā kare koī
aalam ġhubār-e-vahshat-e-majnūñ hai sar-ba-sar
kab tak ḳhayāl-e-turra-e-lailā kare koī
afsurdagī nahīñ tarab-inshā-e-iltifāt
haañ dard ban ke dil meñ magar jā kare koī
rone se ai nadīm malāmat na kar mujhe
āḳhir kabhī to uqda-e-dil vā kare koī
chāk-e-jigar se jab rah-e-pursish na vā huī
kyā fā.eda ki jaib ko rusvā kare koī
laḳht-e-jigar se hai rag-e-har-ḳhār shāḳh-e-gul
tā chand bāġh-bāni-e-sahrā kare koī
nākāmi-e-nigāh hai barq-e-nazārā-soz
tū vo nahīñ ki tujh ko tamāshā kare koī
har sañg o ḳhisht hai sadaf-e-gauhar-e-shikast
nuqsāñ nahīñ junūñ se jo saudā kare koī
sar bar huī na vāda-e-sabr-āzmā se umr
fursat kahāñ ki terī tamannā kare koī
hai vahshat-e-tabī.at-e-ījād yās-ḳhez
ye dard vo nahīñ ki na paidā kare koī
bekāri-e-junūñ ko hai sar pīTne kā shuġhl
jab haath TuuT jaa.eñ to phir kyā kare koī
husn-e-faroġh-e-shamma-e-suḳhan duur hai 'asad'
pahle Dil-e-gudāḳhta paidā kare koī
vahshat kahāñ ki be-ḳhudī inshā kare koī
hastī ko lafz-e-m.ani-e-anqā kare koī
jo kuchh hai mahv-e-shoḳhi-e-abrū-e-yār hai
āñkhoñ ko rakh ke taaq pe dekhā kare koī
arz-e-sarishk par hai fazā-e-zamāna tañg
sahrā kahāñ ki dāvat-e-dariyā kare koī
vo shoḳh apne husn pe maġhrūr hai 'asad'
dikhlā ke us ko aa.ina toḌā kare koī |
fariyaad-kii-koii-lai-nahiin-hai-mirza-ghalib-ghazals |
fariyād kī koī lai nahīñ hai
naala pāband-e-nai nahīñ hai
kyuuñ bote haiñ bāġhbāñ toñbe
gar baaġh gadā-e-mai nahīñ hai
har-chand har ek shai meñ tū hai
par tujh sī koī shai nahīñ hai
haañ khā.iyo mat fareb-e-hastī
har-chand kaheñ ki hai nahīñ hai
shādī se guzar ki ġham na hove
urdī jo na ho to dai nahīñ hai
kyuuñ radd-e-qadah kare hai zāhid
mai hai ye magas kī qai nahīñ hai
hastī hai na kuchh adam hai 'ġhālib'
āḳhir tū kyā hai ai nahīñ hai |
taa-ham-ko-shikaayat-kii-bhii-baaqii-na-rahe-jaa-mirza-ghalib-ghazals |
tā ham ko shikāyat kī bhī baaqī na rahe jā
sun lete haiñ go zikr hamārā nahīñ karte
'ġhālib' tirā ahvāl sunā deñge ham un ko
vo sun ke bulā leñ ye ijārā nahīñ karte |
hujuum-e-naala-hairat-aajiz-e-arz-e-yak-afgaan-hai-mirza-ghalib-ghazals |
hujūm-e-nāla hairat ājiz-e-arz yak-afġhāñ hai
ḳhamoshī resha-e-sad-nīstāñ se ḳhas-ba-dandāñ hai
takalluf-bar-taraf hai jāñ-sitāñ-tar lutf-e-bad-ḳhūyāñ
nigāh-e-be-hijāb-e-nāz teġh-e-tez-e-uryāñ hai
huī ye kasrat-e-ġham se talaf kaifiyat-e-shādī
ki sub.h-e-īd mujh ko bad-tar az-chāk-e-garebāñ hai
dil o diiñ naqd lā saaqī se gar saudā kiyā chāhe
ki us bāzār meñ sāġhar matā-e-dast-gardāñ hai
ġham āġhosh-e-balā meñ parvarish detā hai āshiq ko
charāġh-e-raushan apnā qulzum-e-sarsar kā marjāñ hai
takalluf sāz-e-rusvā.ī hai ġhāfil sharm-e-ranā.ī
dil-e-ḳhūñ-gashta dar dast-e-hinā-ālūda uryāñ hai
'asad' jam.iyat-e-dil dar-kinār-e-be-ḳhudī ḳhush-tar
do-ālam āgahī sāmān-e-yak-ḳhvāb-e-pareshāñ hai |
taskiin-ko-ham-na-roen-jo-zauq-e-nazar-mile-mirza-ghalib-ghazals |
taskīñ ko ham na ro.eñ jo zauq-e-nazar mile
hūrān-e-ḳhuld meñ tirī sūrat magar mile
apnī galī meñ mujh ko na kar dafn bād-e-qatl
mere pate se ḳhalq ko kyuuñ terā ghar mile
sāqī-garī kī sharm karo aaj varna ham
har shab piyā hī karte haiñ mai jis qadar mile
tujh se to kuchh kalām nahīñ lekin ai nadīm
merā salām kahiyo agar nāma-bar mile
tum ko bhī ham dikhā.eñ ki majnūñ ne kyā kiyā
fursat kashākash-e-ġham-e-pinhāñ se gar mile
lāzim nahīñ ki ḳhizr kī ham pairvī kareñ
jaanā ki ik buzurg hameñ ham-safar mile
ai sākinān-e-kucha-e-dildār dekhnā
tum ko kahīñ jo 'ġhālib'-e-āshufta-sar mile |
zikr-us-parii-vash-kaa-aur-phir-bayaan-apnaa-mirza-ghalib-ghazals |
zikr us parī-vash kā aur phir bayāñ apnā
ban gayā raqīb āḳhir thā jo rāz-dāñ apnā
mai vo kyuuñ bahut piite bazm-e-ġhair meñ yā rab
aaj hī huā manzūr un ko imtihāñ apnā
manzar ik bulandī par aur ham banā sakte
arsh se udhar hotā kaash ke makāñ apnā
de vo jis qadar zillat ham hañsī meñ Tāleñge
baare āshnā niklā un kā pāsbāñ apnā
dard-e-dil likhūñ kab tak jā.ūñ un ko dikhlā duuñ
uñgliyāñ figār apnī ḳhāma ḳhūñ-chakāñ apnā
ghiste ghiste miT jaatā aap ne abas badlā
nañg-e-sajda se mere sañg-e-āstāñ apnā
tā kare na ġhammāzī kar liyā hai dushman ko
dost kī shikāyat meñ ham ne ham-zabāñ apnā
ham kahāñ ke daanā the kis hunar meñ yaktā the
be-sabab huā 'ġhālib' dushman āsmāñ apnā |
vo-aa-ke-khvaab-men-taskiin-e-iztiraab-to-de-mirza-ghalib-ghazals |
vo aa ke ḳhvāb meñ taskīn-e-iztirāb to de
vale mujhe tapish-e-dil majāl-e-ḳhvāb to de
kare hai qatl lagāvaT meñ terā ro denā
tirī tarah koī teġh-e-nigah ko aab to de
dikhā ke jumbish-e-lab hī tamām kar ham ko
na de jo bosa to muñh se kahīñ javāb to de
pilā de ok se saaqī jo ham se nafrat hai
piyāla gar nahīñ detā na de sharāb to de
'asad' ḳhushī se mire haath paañv phuul ga.e
kahā jo us ne zarā mere paañv daab to de
ye kaun kahve hai ābād kar hameñ lekin
kabhī zamāna murād-e-dil-e-ḳharāb to de |
ba-naala-haasil-e-dil-bastagii-faraaham-kar-mirza-ghalib-ghazals |
ba-nāla hāsil-e-dil-bastagī farāham kar
matā-e-ḳhāna-e-zanjīr juz sadā ma.alūm
ba-qadr-e-hausla-e-ishq jalva-rezī hai
vagarna ḳhāna-e-ā.īna kī fazā ma.alūm
'asad' farefta-e-intiḳhāb-e-tarz-e-jafā
vagarna dilbarī-e-vāda-e-vafā ma.alūm |
dard-minnat-kash-e-davaa-na-huaa-mirza-ghalib-ghazals |
dard minnat-kash-e-davā na huā
maiñ na achchhā huā burā na huā
jam.a karte ho kyuuñ raqīboñ ko
ik tamāshā huā gila na huā
ham kahāñ qismat āzmāne jaa.eñ
tū hī jab ḳhanjar-āzmā na huā
kitne shīrīñ haiñ tere lab ki raqīb
gāliyāñ khā ke be-mazā na huā
hai ḳhabar garm un ke aane kī
aaj hī ghar meñ boriyā na huā
kyā vo namrūd kī ḳhudā.ī thī
bandagī meñ mirā bhalā na huā
jaan dī dī huī usī kī thī
haq to yuuñ hai ki haq adā na huā
zaḳhm gar dab gayā lahū na thamā
kaam gar ruk gayā ravā na huā
rahzanī hai ki dil-sitānī hai
le ke dil dil-sitāñ ravāna huā
kuchh to paḌhiye ki log kahte haiñ
aaj 'ġhālib' ġhazal-sarā na huā |
kyuunkar-us-but-se-rakhuun-jaan-aziiz-mirza-ghalib-ghazals |
kyūñkar us but se rakhūñ jaan aziiz
kyā nahīñ hai mujhe īmān aziiz
dil se niklā pe na niklā dil se
hai tire tiir kā paikān aziiz
taab laa.e hī banegī 'ġhālib'
vāqi.a saḳht hai aur jaan aziiz |
ye-na-thii-hamaarii-qismat-ki-visaal-e-yaar-hotaa-mirza-ghalib-ghazals |
ye na thī hamārī qismat ki visāl-e-yār hotā
agar aur jiite rahte yahī intizār hotā
tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanā
ki ḳhushī se mar na jaate agar e'tibār hotā
tirī nāzukī se jaanā ki bañdhā thā ahd bodā
kabhī tū na toḌ saktā agar ustuvār hotā
koī mere dil se pūchhe tire tīr-e-nīm-kash ko
ye ḳhalish kahāñ se hotī jo jigar ke paar hotā
ye kahāñ kī dostī hai ki bane haiñ dost nāseh
koī chārasāz hotā koī ġham-gusār hotā
rag-e-sañg se Tapaktā vo lahū ki phir na thamtā
jise ġham samajh rahe ho ye agar sharār hotā
ġham agarche jāñ-gusil hai pa kahāñ bacheñ ki dil hai
ġham-e-ishq gar na hotā ġham-e-rozgār hotā
kahūñ kis se maiñ ki kyā hai shab-e-ġham burī balā hai
mujhe kyā burā thā marnā agar ek baar hotā
hue mar ke ham jo rusvā hue kyuuñ na ġharq-e-dariyā
na kabhī janāza uThtā na kahīñ mazār hotā
use kaun dekh saktā ki yagāna hai vo yaktā
jo duī kī bū bhī hotī to kahīñ do-chār hotā
ye masā.il-e-tasavvuf ye tirā bayān 'ġhālib'
tujhe ham valī samajhte jo na bāda-ḳhvār hotā |
afsos-ki-dandaan-kaa-kiyaa-rizq-falak-ne-mirza-ghalib-ghazals |
afsos ki dandāñ kā kiyā rizq falak ne
jin logoñ kī thī dar-ḳhur-e-aqd-e-guhar añgusht
kaafī hai nishānī tirā chhalle kā na denā
ḳhālī mujhe dikhlā ke ba-vaqt-e-safar añgusht
likhtā huuñ 'asad' sozish-e-dil se suḳhan-e-garm
tā rakh na sake koī mire harf par añgusht |
ye-ham-jo-hijr-men-diivaar-o-dar-ko-dekhte-hain-mirza-ghalib-ghazals |
ye ham jo hijr meñ dīvār-o-dar ko dekhte haiñ
kabhī sabā ko kabhī nāma-bar ko dekhte haiñ
vo aa.e ghar meñ hamāre ḳhudā kī qudrat hai
kabhī ham un ko kabhī apne ghar ko dekhte haiñ
nazar lage na kahīñ us ke dast-o-bāzū ko
ye log kyuuñ mire zaḳhm-e-jigar ko dekhte haiñ
tire javāhīr-e-turf-e-kulah ko kyā dekheñ
ham auj-e-tāla-e-lāl-o-gohar ko dekhte haiñ |
ohde-se-madh-e-naaz-ke-baahar-na-aa-sakaa-mirza-ghalib-ghazals |
ohde se mad.h-e-nāz ke bāhar na aa sakā
gar ik adā ho to use apnī qazā kahūñ
halqe haiñ chashm-hā-e-kushāda ba-sū-e-dil
har tār-e-zulf ko nigah-e-surma-sā kahūñ
maiñ aur sad-hazār navā-e-jigar-ḳharāsh
tū aur ek vo nā-shunīdan ki kyā kahūñ
zālim mire gumāñ se mujhe munfa.il na chaah
hai hai ḳhudā-na-karda tujhe bevafā kahūñ |
aabruu-kyaa-khaak-us-gul-kii-ki-gulshan-men-nahiin-mirza-ghalib-ghazals |
aabrū kyā ḳhaak us gul kī ki gulshan meñ nahīñ
hai garebāñ nañg-e-pairāhan jo dāman meñ nahīñ
zof se ai girya kuchh baaqī mire tan meñ nahīñ
rañg ho kar uḌ gayā jo ḳhuuñ ki dāman meñ nahīñ
ho ga.e haiñ jamā ajzā-e-nigāh-e-āftāb
zarre us ke ghar kī dīvāroñ ke rauzan meñ nahīñ
kyā kahūñ tārīki-e-zindān-e-ġham andher hai
pamba nūr-e-sub.h se kam jis ke rauzan meñ nahīñ
raunaq-e-hastī hai ishq-e-ḳhāna vīrāñ saaz se
anjuman be-shamā hai gar barq ḳhirman meñ nahīñ
zaḳhm silvāne se mujh par chārā-juī kā hai taan
ġhair samjhā hai ki lazzat zaḳhm-e-sozan meñ nahīñ
bas-ki haiñ ham ik bahār-e-nāz ke maare hue
jalva-e-gul ke sivā gard apne madfan meñ nahīñ
qatra qatra ik hayūlā hai na.e nāsūr kā
ḳhuuñ bhī zauq-e-dard se fāriġh mire tan meñ nahīñ
le ga.ī saaqī kī naḳhvat qulzum-āshāmī mirī
mauj-e-mai kī aaj rag miinā kī gardan meñ nahīñ
ho fishār-e-zof meñ kyā nā-tavānī kī numūd
qad ke jhukne kī bhī gunjā.ish mire tan meñ nahīñ
thī vatan meñ shaan kyā 'ġhālib' ki ho ġhurbat meñ qadr
be-takalluf huuñ vo musht-e-ḳhas ki gulḳhan meñ nahīñ |
shikve-ke-naam-se-be-mehr-khafaa-hotaa-hai-mirza-ghalib-ghazals |
shikve ke naam se be-mehr ḳhafā hotā hai
ye bhī mat kah ki jo kahiye to gila hotā hai
pur huuñ maiñ shikve se yuuñ raag se jaise baajā
ik zarā chheḌiye phir dekhiye kyā hotā hai
go samajhtā nahīñ par husn-e-talāfī dekho
shikva-e-jaur se sargarm-e-jafā hotā hai
ishq kī raah meñ hai charḳh-e-makaukab kī vo chaal
sust-rau jaise koī ābla-pā hotā hai
kyuuñ na Thahreñ hadaf-e-nāvak-e-bedād ki ham
aap uThā laate haiñ gar tiir ḳhatā hotā hai
ḳhuub thā pahle se hote jo ham apne bad-ḳhvāh
ki bhalā chāhte haiñ aur burā hotā hai
naala jaatā thā pare arsh se merā aur ab
lab tak aatā hai jo aisā hī rasā hotā hai
ḳhāma merā ki vo hai bār-bud-e-bazm-e-suḳhan
shaah kī mad.h meñ yuuñ naġhma-sarā hotā hai
ai shahanshāh-e-kavākib sipah-o-mehr-e-alam
tere ikrām kā haq kis se adā hotā hai
saat aqlīm kā hāsil jo farāham kiije
to vo lashkar kā tire nāl-e-bahā hotā hai
har mahīne meñ jo ye badr se hotā hai hilāl
āstāñ par tire mah nāsiya sā hotā hai
maiñ jo gustāḳh huuñ ā.īn-e-ġhazal-ḳhvānī meñ
ye bhī terā hī karam zauq-fazā hotā hai
rakhiyo 'ġhālib' mujhe is talḳh-navā.ī meñ muaaf
aaj kuchh dard mire dil meñ sivā hotā hai |
phir-mujhe-diida-e-tar-yaad-aayaa-mirza-ghalib-ghazals |
phir mujhe dīda-e-tar yaad aayā
dil jigar tishna-e-faryād aayā
dam liyā thā na qayāmat ne hanūz
phir tirā vaqt-e-safar yaad aayā
sādgī-hā-e-tamannā ya.anī
phir vo nairañg-e-nazar yaad aayā
uzr-e-vāmāndagī ai hasrat-e-dil
naala kartā thā jigar yaad aayā
zindagī yuuñ bhī guzar hī jaatī
kyuuñ tirā rāhguzar yaad aayā
kyā hī rizvāñ se laḌā.ī hogī
ghar tirā ḳhuld meñ gar yaad aayā
aah vo jur.at-e-fariyād kahāñ
dil se tañg aa ke jigar yaad aayā
phir tire kūche ko jaatā hai ḳhayāl
dil-e-gum-gashta magar yaad aayā
koī vīrānī sī vīrānī hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayā
maiñ ne majnūñ pe laḌakpan meñ 'asad'
sañg uThāyā thā ki sar yaad aayā
vasl meñ hijr kā Dar yaad aayā
ain jannat meñ saqar yaad aayā |
chaak-kii-khvaahish-agar-vahshat-ba-uryaanii-kare-mirza-ghalib-ghazals |
chaak kī ḳhvāhish agar vahshat ba-uryānī kare
sub.h ke mānind zaḳhm-e-dil garebānī kare
jalve kā tere vo aalam hai ki gar kiije ḳhayāl
dīda-e-dil ko ziyārat-gāh-e-hairānī kare
hai shikastan se bhī dil naumīd yā rab kab talak
ābgīna koh par arz-e-girāñ-jānī kare
mai-kada gar chashm-e-mast-e-nāz se paave shikast
mū-e-shīsha dīda-e-sāġhar kī mizhgānī kare
ḳhatt-e-āriz se likhā hai zulf ko ulfat ne ahd
yak-qalam manzūr hai jo kuchh pareshānī kare |
baaziicha-e-atfaal-hai-duniyaa-mire-aage-mirza-ghalib-ghazals |
bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mire aage
hotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage
ik khel hai aurañg-e-sulaimāñ mire nazdīk
ik baat hai ejāz-e-masīhā mire aage
juz naam nahīñ sūrat-e-ālam mujhe manzūr
juz vahm nahīñ hastī-e-ashiyā mire aage
hotā hai nihāñ gard meñ sahrā mire hote
ghistā hai jabīñ ḳhaak pe dariyā mire aage
mat pūchh ki kyā haal hai merā tire pīchhe
tū dekh ki kyā rañg hai terā mire aage
sach kahte ho ḳhud-bīn o ḳhud-ārā huuñ na kyuuñ huuñ
baiThā hai but-e-ā.ina-sīmā mire aage
phir dekhiye andāz-e-gul-afshānī-e-guftār
rakh de koī paimāna-e-sahbā mire aage
nafrat kā gumāñ guzre hai maiñ rashk se guzrā
kyūñkar kahūñ lo naam na un kā mire aage
īmāñ mujhe roke hai jo khīñche hai mujhe kufr
ka.aba mire pīchhe hai kalīsā mire aage
āshiq huuñ pa māshūq-farebī hai mirā kaam
majnūñ ko burā kahtī hai lailā mire aage
ḳhush hote haiñ par vasl meñ yuuñ mar nahīñ jaate
aa.ī shab-e-hijrāñ kī tamannā mire aage
hai maujzan ik qulzum-e-ḳhūñ kaash yahī ho
aatā hai abhī dekhiye kyā kyā mire aage
go haath ko jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hai
rahne do abhī sāġhar-o-mīnā mire aage
ham-pesha o ham-mashrab o hamrāz hai merā
'ġhālib' ko burā kyuuñ kaho achchhā mire aage |
surma-e-muft-e-nazar-huun-mirii-qiimat-ye-hai-mirza-ghalib-ghazals |
surma-e-muft-e-nazar huuñ mirī qīmat ye hai
ki rahe chashm-e-ḳharīdār pe ehsāñ merā
ruḳhsat-e-nāla mujhe de ki mabādā zālim
tere chehre se ho zāhir ġham-e-pinhāñ merā
ḳhalvat-e-ābila-e-pā meñ hai jaulāñ merā
ḳhuuñ hai dil tañgī-e-vahshat se bayābāñ merā
hasrat-e-nashsha-e-vahshat na ba-sa.i-e-dil hai
arz-e-ḳhamiyāza-e-majnūñ hai garebāñ merā
fahm zanjīrī-e-be-rabtī-e-dil hai yā-rab
kis zabāñ meñ hai laqab ḳhvāb-e-pareshāñ merā |
dil-lagaa-kar-lag-gayaa-un-ko-bhii-tanhaa-baithnaa-mirza-ghalib-ghazals |
dil lagā kar lag gayā un ko bhī tanhā baiThnā
baare apnī bekasī kī ham ne paa.ī daad yaañ
haiñ zavāl-āmāda ajzā āfrīnash ke tamām
mahr-e-gardūñ hai charāġh-e-rahguzār-e-bād yaañ
hai tarahhum-āfrīñ ārā.ish-e-be-dād yaañ
ashk-e-chashm-e-dām hai har dāna-e-sayyād yaañ
hai gudāz-e-mom andāz-e-chakīdan-hā-e-ḳhūñ
nīsh-e-zambūr-e-asal hai nashtar-e-fassād yaañ
nā-gavārā hai hameñ ehsān-e-sāhab-daulatāñ
hai zar-e-gul bhī nazar meñ jauhar-e-faulād yaañ
jumbish-e-dil se hue haiñ uqda-hā-e-kār vā
kam-tarīñ mazdūr-e-sañgīñ-dast hai farhād yaañ
qatra-hā-e-ḳhūn-e-bismil zeb-e-dāmāñ haiñ 'asad'
hai tamāsha kardanī gul-chīnī-e-jallād yaañ |
luun-vaam-bakht-e-khufta-se-yak-khvaab-e-khush-vale-mirza-ghalib-ghazals |
luuñ vaam baḳht-e-ḳhufta se yak-ḳhvāb-e-ḳhush vale
'ġhālib' ye ḳhauf hai ki kahāñ se adā karūñ
ḳhush vahshate ki arz-e-junūn-e-fanā karūñ
juuñ gard-e-rāh jāma-e-hastī qabā karūñ
aa ai bahār-e-nāz ki tere ḳhirām se
dastār gird-e-shāḳh-e-gul-e-naqsh-e-pā karūñ
ḳhush uftādgī ki ba-sahrā-e-intizār
juuñ jaada gard-e-rah se nigah surma-sā karūñ
sabr aur ye adā ki dil aave asīr-e-chāk
dard aur ye kamīñ ki rah-e-nāla vā karūñ
vo be-dimāġh-e-minnat-e-iqbāl huuñ ki maiñ
vahshat ba-dāġh-e-sāya-e-bāl-e-humā karūñ
vo iltimās-e-lazzat-e-be-dād huuñ ki maiñ
teġh-e-sitam ko pusht-e-ḳham-e-iltijā karūñ
vo rāz-e-nāla huuñ ki ba-sharh-e-nigāh-e-ajz
afshāñ ġhubār-e-surma se fard-e-sadā karūñ |
shumaar-e-subha-marguub-e-but-e-mushkil-pasand-aayaa-mirza-ghalib-ghazals-1 |
shumār-e-sub.ha marġhūb-e-but-e-mushkil-pasand aayā
tamāshā-e-ba-yak-kaf burdan-e-sad-dil-pasand aayā
ba-faiz-e-be-dilī naumīdi-e-jāved āsāñ hai
kushāyish ko hamārā uqda-e-mushkil-pasand aayā
havā-e-sair-e-gul ā.īna-e-be-mehri-e-qātil
ki andāz-e-ba-ḳhūñ-ġhaltīdan-e-bismil-pasand aayā
ravānī-hā-e-mauj-e-ḳhūn-e-bismil se Tapaktā hai
ki lutf-e-be-tahāshā-raftan-e-qātil-pasand aayā
'asad' har jā suḳhan ne tarh-e-bāġh-e-tāza Daalī hai
mujhe rañg-e-bahār-ījādi-e-be-dil-pasand aayā |
naqsh-e-naaz-e-but-e-tannaaz-ba-aagosh-e-raqiib-mirza-ghalib-ghazals |
naqsh-e-nāz-e-but-e-tannāz ba-āġhosh-e-raqīb
pā-e-tā.ūs pa.e-ḳhāma-e-mānī māñge
tū vo bad-ḳhū ki tahayyur ko tamāshā jaane
ġham vo afsāna ki āshufta-bayānī māñge
vo tap-e-ishq-e-tamannā hai ki phir sūrat-e-sham.a
sho.ala tā-nabz-e-jigar resha-davānī māñge
tishna-e-ḳhūn-e-tamāshā jo vo paanī māñge
aa.ina ruḳhsat-e-andāz-e-ravānī māñge
rañg ne gul se dam-e-arz-e-pareshānī-e-bazm
barg-e-gul reza-e-mīnā kī nishānī māñge
zulf tahrīr-e-pareshān-e-taqāzā hai magar
shāna-sāñ mū-ba-zabāñ ḳhāma-e-mānī māñge
āmad-e-ḳhat se na kar ḳhanda-e-shīrīñ ki mabād
chashm-e-mor ā.īna-e-dil nigarānī māñge
huuñ giraftār-e-kamīñ-gāh-e-taġhāful ki jahāñ
ḳhvāb sayyād se parvāz-e-girānī māñge
chashm parvāz o nafas ḳhufta magar zo.af-e-umīd
shahpar-e-kāh pa.e-muzhda-risānī māñge
vahshat-e-shor-e-tamāshā hai ki juuñ nik.hat-e-gul
namak-e-zaḳhm-e-jigar bāl-fishānī māñge
gar mile hazrat-e-'bedil' kā ḳhat-e-lauh-e-mazār
'asad' ā.īn-e-parvāz-e-ma.ānī māñge
rañg ne gul se dam-e-arz-e-pareshānī-e-bazm
barg-e-gul reza-e-mīnā kī nishānī māñge |
baag-paa-kar-khafaqaanii-ye-daraataa-hai-mujhe-mirza-ghalib-ghazals |
baaġh pā kar ḳhafaqānī ye Darātā hai mujhe
sāya-e-shāḳh-e-gul af.ī nazar aatā hai mujhe
jauhar-e-teġh ba-sar-chashma-e-dīgar mālūm
huuñ maiñ vo sabza ki zahrāb ugātā hai mujhe
mudda.ā mahv-e-tamāshā-e-shikast-e-dil hai
ā.ina-ḳhāna meñ koī liye jaatā hai mujhe
naala sarmāya-e-yak-ālam o aalam kaf-e-ḳhāk
āsmāñ baiza-e-quamrī nazar aatā hai mujhe
zindagī meñ to vo mahfil se uThā dete the
dekhūñ ab mar ga.e par kaun uThātā hai mujhe
baaġh tujh bin gul-e-nargis se Darātā hai mujhe
chāhūñ gar sair-e-chaman aañkh dikhātā hai mujhe
shor-e-timsāl hai kis rashk-e-chaman kā yā rab
aa.ina baiza-e-bulbul nazar aatā hai mujhe
hairat-e-ā.ina anjām-e-junūñ huuñ jyuuñ sham.a
kis qadar dāġh-e-jigar shola uThātā hai mujhe
maiñ huuñ aur hairat-e-jāved magar zauq-e-ḳhayāl
ba-fusūn-e-nigah-e-nāz satātā hai mujhe
hairat-e-fikr-e-suḳhan sāz-e-salāmat hai 'asad'
dil pas-e-zānū-e-ā.īna biThātā hai mujhe |
maana-e-dasht-navardii-koii-tadbiir-nahiin-mirza-ghalib-ghazals |
māna-e-dasht-navardī koī tadbīr nahīñ
ek chakkar hai mire paañv meñ zanjīr nahīñ
shauq us dasht meñ dauḌāye hai mujh ko ki jahāñ
jaada ġhair az nigah-e-dīda-e-tasvīr nahīñ
hasrat-e-lazzat-e-āzār rahī jaatī hai
jāda-e-rāh-e-vafā juz dam-e-shamshīr nahīñ
rañj-e-naumīdi-e-jāved gavārā rahiyo
ḳhush huuñ gar nāla-zabūnī kash-e-tāsīr nahīñ
sar khujātā hai jahāñ zaḳhm-e-sar achchhā ho jaa.e
lazzat-e-sañg ba-andāza-e-taqrīr nahīñ
jab karam ruḳhsat-e-bebākī-o-gustāḳhī de
koī taqsīr ba-juz ḳhajlat-e-taqsīr nahīñ
'ġhālib' apnā ye aqīda hai ba-qaul-e-'nāsiḳh'
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ
'mīr' ke sher kā ahvāl kahūñ kyā 'ġhālib'
jis kā dīvān kam-az-gulshan-e-kashmīr nahīñ
ā.īna daam ko parde meñ chhupātā hai abas
ki parī-zād-e-nazar qābil-e-tasḳhīr nahīñ
misl-e-gul zaḳhm hai merā bhī sināñ se tavvām
terā tarkash hī kuchh ābistanī-e-tīr nahīñ |
junuun-kii-dast-giirii-kis-se-ho-gar-ho-na-uryaanii-mirza-ghalib-ghazals |
junūñ kī dast-gīrī kis se ho gar ho na uryānī
garebāñ-chāk kā haq ho gayā hai merī gardan par
ba-rañg-e-kāġhaz-e-ātish-zada nairañg-e-betābī
hazār ā.īna dil bāñdhe hai bāl-e-yak-tapīdan par
falak se ham ko aish-e-rafta kā kyā kyā taqāzā hai
matā-e-burda ko samjhe hue haiñ qarz rahzan par
ham aur vo be-sabab rañj-āshnā dushman ki rakhtā hai
shuā-e-mehr se tohmat nigah kī chashm-e-rauzan par
fanā ko sauñp gar mushtāq hai apnī haqīqat kā
faroġh-e-tāla-e-ḳhāshāk hai mauqūf gulḳhan par
'asad' bismil hai kis andāz kā qātil se kahtā hai
ki mashq-e-nāz kar ḳhūn-e-do-ālam merī gardan par
fusūn-e-yak-dilī hai lazzat-e-bedād dushman par
ki vajd-e-barq juuñ parvāna bāl-afshāñ hai ḳhirman par
takalluf ḳhār-ḳhār-e-iltimās-e-be-qarārī hai
ki rishta bāñdhtā hai pairahan añgusht-e-sozan par
ye kyā vahshat hai ai dīvāne pesh-az-marg vāvailā
rakkhī be-jā binā-e-ḳhāna-e-zanjīr-e-shevan par |
Subsets and Splits